Feb 11, 2012

Sharafat Soz Tasveeron Ki Uryani - Inspirational Poetry

Sharafat Soz Tasveeron Ki Uryani Nahi Jat - Inspirational poetry

Urdu Inspirational Poetry

Sharafat soz tasveeron ki uryani nahin jati,
Adaab ki aar main Targheeb-e-roomani nahin jati...

Khuda maloom nasal-e-nauu ka kia anjam hona hai,
Watan se fasah naghmo ki farawani nahin jati...

Azab aye to us main saienkron ki jaan jati hai,
Nahin jati to shaitano ki shaitani nahin jati...

Kahin basti ki basti bond pani ko tarasti hai,
Kahin barish barasti hai to tughyani nahin jati...

Zamana is qadar qaail hwa ha jhoote logon ka,
Jo sach kehte hain unki ek bhi maani nahin jati...

Jahan k zarre zarre se numayan hai jaalal Uska,
Magar hum se Khuda ki zaat pehchani nahin jati..!!!


0 comments:

Post a Comment

Add your comments, Poetry related to this Poetry.