Apr 3, 2012

Roshni ki dhaar per rakhi kahani aur Dukh

Roshni ki dhaar pr rakhi kahani or dukh 
Aankh se behta hua khamosh paani or dukh,

Mere kamry main usi tarteeb se rakhe hue Phool, 
khat, waade, dilaase, ek jawani or dukh, 

 Ek dooje se bichar kr umar bhar rote rhe, 
Raat, sehra, khush patte, ek raani or dukh, 

Ab mere lafzon main woh pehli si kefiyat nahi, 
Daal ab jholi main teri maherbani or dukh, 

Raat sehra main kisi ne baansuri ki nok pr, 
Rakh di phir roti hui yaaden purani or dukh.....!!