Aug 27, 2012

Aankhen Bheeg Jati Hain - Wasi Shah Shayari

Aankhen-bheeg-jati-Wasi-Shah

Wasi Shah Poetry - Love Poetry

Samandar Mein Utarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain,
Teri Aankhon Ko Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Tumhara Naam Parhne Ki Ijazat Cheen Gai Jab Se,
Koi Bhi Lafz Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain….

Cheen = Snached;

Mein Hans Ke Jhail Leta Hun, Judai Ki Sabhi Rasmain,
Galey Jab Us Ke Lagta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Jhail = bear; Rasmain = Rituals;

Na Jane Ho Gaya Hun Is Qadar Hasas Mein Kab Se..?
Kisi Se Baat Karta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Hassas = Sensitive;

Wo Sab Guzre Hue Lamhaat Mujh Ko Yaad Aate Hain,
Tumhara Khat Jo Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Mein Sara Din Bohat Masroof Rehta Hun Mager Joonhi,
Qadam Chokhat Pe Rakhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Chokhat = Threshold

Har Ik Muflis Ke Mathe Par Alam Ki Daastanein Hain,
Koi Chehra Bhi Parhta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Muflis = Destitute; Alam = Tragic; Daastanein = Stories;

Barey Logon Ke Unchey, Bad_Numa, Sard Mehloon Koi,
Ghareeb Aankhon Se Takta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Unchey = High; Bad_Numa =  Graceless; Mehloon = Menses; Takta = To See

Tere Kooche Se Ab Mera Taaluq Waajbi Sa Hai,
Magar Jab Bhi Guzarta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain…

Kooche = Neighborhood; Taaluq = relation; Waajbi = Obligatory

Hazaar Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Pe ‘Wasi’
Mein Jab Bhi Hansta Hun To Aankhen Bheeg Jati Hain….!

2 comments:

  1. Beautiful... Translations were very helpful for people like me who do not understand difficult Urdu words.. Beautiful sentiments!

    ReplyDelete
  2. Oh Thank you so Much Sir, For commenting on my blogs. It's a Honor for me..:)
    Thank you for your feedback about the poetry.

    ReplyDelete

Add your comments, Poetry related to this Poetry.