Aug 24, 2012

Suno Aey Chaand Si larki - Sad Girl Poetry

Sad Girl Larki Shayari

Urdu Poetry - Sad Girl Poetry

Suno Aey Chaand Si larki,
Abhi tum Titliyan pakro,
Ya phir Masoonm si Ankhon sey,
Dheroon, khawab dekho tum
Faraz-o-Faiz-o-Mohsin ki
Kitaabain mat abhi parhna,
Ye sab lafzon ke Shaeir hain,
Tumhain uljha dain gey,
Tumhein maloom hi kab hai,
Muhabbat ke Libaaday mein
Hawas aur Hirs hoti hai,,
Ye insaan ki Dunya hai,
magar in sey kahin barh kar,
Yahan Wehshi darinday hain,
Wo Wehshi, jin ki ankhon mein,
machaltay piyaar ke peechay
Hawas aur Hirs hoti hai,
Abhi kachi kali ho tum,
Abhi kaanton sey mat khailo,
Abhi apni hatheli par,
Kisi ka Naam mat likho,
Abhi apni Kitaboon mai,
Gulabi phool mat rakho,
Abhi Shairon me mat uljho..
Abhi to Umer baqi hai,
Abhi khud ko sanbhalo tum
Abhi mat Gungunao tum,
Abhi sey Ishq mat socho,
Abhi sab Bhool jao tum....!
Abhi sab Bhool jao tum.....!

0 comments:

Post a Comment

Add your comments, Poetry related to this Poetry.