Sep 4, 2012

Dil Mein Ik Leher Si Uthi Hai Abhi - Nasir Kazmi Poetry

Dil mein ik  Lehar

Nasir Kazmi Poetry - Ghazal

Dil Mein Ik Leher Si Uthi Hai Abhi,
Koi Taza Hawa Chali Hai Abhi….
Leher = Wave; Taza = Fresh
Shoor Barpa Hai Khana-e-Dil Mein..
Koi Deewar Si Giri Hai Abhi…
Shoor = Noise; Barpa = Induced; Khana = Home
Bhari Duniya Mein Jee Nahi Lagta
Jane Kis Cheez Ki Kami Hai Abhi…
Bhari = Full
Yaad Ke Be-Nishaan Jazeeron Mein
Teri Awaaz Aa Rahi Hai Abhi…
Be-Nishaan = Unmarked; Jazeeron = Islands
Shehar Ki Be Chiraagh Galiyon Mein
Zindagi Tujh Ko Dhoondti Hai Abhi…
Shehar = City; Be-Chiraagh = Without Lamps; 
So Gaye Log Is Haweli Ke
Ik Khirki Mager Khuli Hai Abhi..
Haweli = Mension; Khirki = Window; Khuli = Opened;
Waqat Acha Bhi Aaye Ga ‘Nasir’
Gham Na Kar Zindagi Pari Hai Abhi…
Gham = Grief

Dil Mein Ik Leher Si Uthi Hai Abhi - Video


0 comments:

Post a Comment

Add your comments, Poetry related to this Poetry.