Oct 8, 2012

Tumhare Khat Mein Ik Naya Salam Kis Ka Tha?

Tumhare-Khat-Mein

Tumhare khat mein naya ik salaam kis kaa tha?
Na tha raqib to aakhir wo naam kis ka thaa?
Raqib = rival; aakhir = end 
Wo qatal kar ke har kisi se poochtey hain
Ye kaam kis ne kiya hai? Ye kaam kis ka tha?
Qatal = assassination
Wafa karenge nibhaaheinge baat maanein ge
Tumhein bhi yaad hai kuch ye kalam kis ka tha?
Wafa = fulfillment; nibhaah = loyalty; kalam = speech 
Rahaa na dil mein wo be-dard aur dard raha
Muqeem kon hua hai maqaam kis ka tha
Be-dard = feelingless; muqeem = remaining; maqaam = location 
Na pooch-gach thi kisi ki wahan na aao-bhagat
Tumhaari bazm mein kal ehtamaam kis kaa tha
Pooch-gach = inquiry; aao-bhagat = welcome of supporters; bazm = meeting 
Tamam bazm jise sun kar reh gai mushtaaq
Kaho wo tazkara na-tamaam kis ka tha?
Tazkara = Mentioned; Na-tamaam = partion
Guzar gaya wo zamana, kahoon to kis se kahon
Khayal dil ko mere subh-o-shaam kis ka tha…?
Guzar Gaya = Passed away; Zamana = Era; Khayal = Care

0 comments:

Post a Comment

Add your comments, Poetry related to this Poetry.