Oct 20, 2012

Gaye Dinon Ka Suraagh Le Kar Kidhar - Nasir Kazmi

Nasir-Kazmi-Gaye-Din

Nasir Kazmi Ghazal

Gaye Dinon Ka Suraagh Le Kar Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Wo
Ajeeb Manoos Ajnabi Tha, Mujhe To Hairaan Kar Gaya Wo

Khushi Ki Raat Ho Keh Gham Ka Mausam, Nazar Usy Dhoondti Hai Har Dam
Wo Boye Gul Tha Keh Naghma-E-Jaan, Mere To Dil Mein Utar Gaya Wo

Wo Maikadey Ko Jagane Wala, Wo Raat Ki Neend Uraney Wala
Ye Aaj Kia Is Ke Jee Mein Aai Keh, Shaam Hote Hi Ghar Gaya Wo

Wo Jis Ke Kandhon Pe Haath Rakh Kar Safar Kia Tu Ne Manziloon Ka
Teri Gali Se Najaney Koin Aaj Sar Jhukaye Guzar Gaya Wo

Wo Raat Ka Be Nawa Musafir, Wo Teri Shayr, Wo Tera ‘Nasir’
Teri Gali Tak To Ham Ne Dekha Tha Phir Najaney Kidhar Gaya Wo

0 comments:

Post a Comment

Add your comments, Poetry related to this Poetry.