Nov 26, 2012

Tarash Kar Mere Bazoo Uraan Chor Gaya - Parveen Shakir

Tarash Kar Mere Bazoo Uraan Chor Gaya
Hawa Ke Paas Barhana Kaman Chor Gaya
Bazoo: Shoulders; Uraan: Flight; Barhana: Naked; Kaman: Bow;
Rafaqton Ka Meri Us Ko Dehaan Kitna Tha
Zameen Ley Li Magaer Aasmaan Chor Gaya
Rafaqton: Companionship;
Ajeeb Shakhs Tha, Barish Ka Rang Dekh Ke Bhi
Khule Dareeche Pe Ik Phool_Dan Chorr Gaya
Dareeche: Window; Phool_Dan: Flower Pot;
Jo Badloon Se Bhi Mujh Ko Chupaye Rakhta Tha
Barhi Hai Dhoop To Be_Saibaan Chor Gaya
Be_Saibaan: Roofless
Nikal Gaya Kahin An_Dekhe Paniyon Ki Taraf
Zameen Ke Naam Khula Badbaan Chor Gaya
An_Dekha: Unseen; Badbaan: Sail
Uqaab Ko Thi Gharz Fakhta Pakarne Se
Jo Gir Gai To Yunhi Neem Jaan Chor Gaya
Uqaab: Eagle; Gharz: Purpose; Fakhta: Fakhta: Ringdove; Neem Jaan: Half-Life
Najane Kon Sa Aasaib Dil Mein Basta Hai
Ke Jo Bhi Thera Wo Aakhir Makaan Chor Gaya
Aasaib: Haunted;
Aqab Me Gehra Samandar Hai, Saamne Jangal
Kis Inteha Pe Mera Meharban Chor Gaya….
Aqab: Behind; Jangal: Forest; Meharban: Compassionate;
Parveen Shakir Poetry
By: Parveen Shakir
Shared by: Qadeer

0 comments:

Post a Comment

Add your comments, Poetry related to this Poetry.