Oct 30, 2013

Hai Dua Yaad Magar Harf-e-Dua Yaad Nahi

Hai Dua Yaad Magar Harf-e-Dua Yaad Nahi,
Mere Naghmaat Ko Andaaz-e-Nawa Yaad Nahi...

Rahen Ne Jin K Liye Raahon Me Bichaya Tha Lahu,
Hum Se Kehte Hain Wohi Ehd-e-Wafa Yaad Nahi...

Zindagi Jabr-e-Musalsal Ki Tarha Kaati Hai,
Jaany Kis Jurm Ki Pai Hai Saza Yaad Nahi...

Mene Palkon Se Dar-e-Yaar Pe Dastak Di Hai,
Me Wo Saail Hun Jise Koi Sada Yaad Nahi...

Kese Bhar Aain Sar-e-Shaam Kisi Ki Ankhain,
Kese Tharai Chiraghon Ki Ziya Yaad Nahi...

Sirf Dhundhlaaty Sitaray Ki Chamak Dekhi Hai,
Kab Hua Kon Hua Mujhse Juda Yaad Nahi...

Aa Ek Sajda Karen Aalam-e-Madh-Hoshi Me,
Log Kehte Hain Saghar Ko Khuda Yaad Nahi...

Hai Dua Yaad Magar Harf-e-Dua

0 comments:

Post a Comment

Add your comments, Poetry related to this Poetry.