Nov 19, 2015

Seenay Se Is Tarha Ye Dil-e-Natwan Gaya

Seenay Se Is Tarha Ye Dil-e-Natwan Gaya
Hum Sub Se Poochte Rahe Aakhir Kahan Gaya

Dil Ka Safar Hai Aur, Ye Qadmon Ki Chaal Aur
Hum Ho K Aa Gaye To Wahan Kaarwan Gaya

Aisi Pari Wo Mujh Pe Ebadat-Shikan Nigaah
Sajda Gaya, Namaz Gai, Aastan Gaya

Jangal Main Is Tarha Ki Udaasi Kabhi Na Thi
Aye Kaarwan Theher, Mera Sathi Kahan Gaya

Sab Mujh Ko Sun Rahe The Bare Inhamaak Se
Boli Wo Aankh Kya, Mera Zor-e-Bayan Gaya

Rashid Wo Aik Shakhs Tha Duniya Mere Liye
Wo Kya Gaya K Sara Rang-e-Jaahan Gaya...

Seenay Se Is Tarha

0 comments:

Post a Comment

Add your comments, Poetry related to this Poetry.