Jun 5, 2018

Ik Dost Aisa Huwa Kere

Ik dost aisa huwa kere. ..    
Jo sirf mera huwa kere. . .
Mein roun to hansaya kere. .    
Mein roothon to manaya kere. . .
Behla kar nat naye mshghlon mein. . 
Woh naz mere uthaya kere. .. .
Woh bhool jaye naam mera mujhe. .. 
Farzi naamon se bulaya kere. . .
Meri her khushi mein shaamil ho. . 
Meri shararat pay muskuraya kere. .
Usay kami mehsoos ho meri. . 
Mujhe bhi woh yaad aaya kere. . .
Udasi pay aabdeedah ho meri. .. 
Aankhon se nami churraya kere. .
Kabhi ho jaon be aas mein. . 
Mujhe raah dekhaya kere. . .
Mere houslon ko jilah day. . 
Meri qurbatoon ko bhaayaa kere. .
Meri aksar nadaniyon pay woh. .. 
Mujhe khafgi se daraya kere. .
Ik dost aisa huwa kere. .. 
Jo sirf mera huwa kere. ..! !! !! !
Submitted by: Saba

Ik Dost Aisa Huwa Kere

0 comments:

Post a Comment

Add your comments, Poetry related to this Poetry.