Showing posts with label Sagar Siddiqui. Show all posts
Showing posts with label Sagar Siddiqui. Show all posts

Jul 2, 2017

Agar Kabhi Nend Aa Jaye To So Bhi Lia Kar

Agar Kabhi Nend Aa Jaye To So Bhi Lia Kar Sagar
Raaton Ko Jagne Se Bichre Lauta Nahi Karte...

Agar Kabhi Nend

Jan 10, 2015

Lehron Se Khailna To Sagar Ka Shoq Hai

Lehron Se Khailna To Sagar Ka Shoq Hai
Lagti Hai Chot Kese Kinary Se Puchiye...

Lehron Se Khailna

Dec 20, 2014

Kisi Ko Na Pane Se Zindagi Khatam Nahi Hoti

Kisi Ko Na Pane Se Zindagi Khatam Nahi Hoti Sagar

Lekin Kisi Ko Paa Kar Kho Dene Se Kuch Baqi Nahi Rehta...

Kisi Ko Na Pane

Oct 30, 2013

Hai Dua Yaad Magar Harf-e-Dua Yaad Nahi

Hai Dua Yaad Magar Harf-e-Dua Yaad Nahi,
Mere Naghmaat Ko Andaaz-e-Nawa Yaad Nahi...

Rahen Ne Jin K Liye Raahon Me Bichaya Tha Lahu,
Hum Se Kehte Hain Wohi Ehd-e-Wafa Yaad Nahi...

Zindagi Jabr-e-Musalsal Ki Tarha Kaati Hai,
Jaany Kis Jurm Ki Pai Hai Saza Yaad Nahi...

Mene Palkon Se Dar-e-Yaar Pe Dastak Di Hai,
Me Wo Saail Hun Jise Koi Sada Yaad Nahi...

Kese Bhar Aain Sar-e-Shaam Kisi Ki Ankhain,
Kese Tharai Chiraghon Ki Ziya Yaad Nahi...

Sirf Dhundhlaaty Sitaray Ki Chamak Dekhi Hai,
Kab Hua Kon Hua Mujhse Juda Yaad Nahi...

Aa Ek Sajda Karen Aalam-e-Madh-Hoshi Me,
Log Kehte Hain Saghar Ko Khuda Yaad Nahi...

Hai Dua Yaad Magar Harf-e-Dua

Feb 15, 2013

Mujhe Bhi Yaad Rakhna Jab Likho Tareekh-e-Wafa ‘Sagar’

Mujhe Bhi Yaad Rakhna Jab Likho Tareekh-e-Wafa ‘Sagar’
Ke Mein Ne Bhi Lutaya Hai Mohabbat Mein Sakoon Apna….

Wafa

Oct 25, 2012

Chaak Daman Ko Dekha To Mila Eid Ka Chand

Eid-Poetry-Ghazal

Eid Poetry by Saghar Siddiqui

Chaak Daman Ko Dekha To Mila Eid Ka Chand
Apni Tasweer Kahan Bhool Gaya Eid Ka Chand
Chaak = Rift; 
Is Ke Aabrooye Khameda Ki Tarha Teekha Hai
Apni Aankhon Mein Bari Dair Chubha Eid Ka Chand
Aabrooye = Eyebrows; Khameda = Curved; Teekha = Sharp
Door Wairaan Baseeray Mein Diya Ho Jese
Gham Ki Deewar Se Dekha To Laga Eid Ka Chand
Weraan = Isolated; Baseeray = Nest;
Ley Key Halaat Ke Sehraon Mein Aa Jata Hai
Aaj Bhi Khald Ki Rangeen Fiza Eid Ka Chand
Sehraon = Deserts; Khald = Immortalize
Talkhiyan Barh Gayn Jab Zeest Key Pemaany Mein
Ghool Ke Dard Ke Maaron Ney Piya Eid Ka Chand
Talkhiyan  = Bitter; Pemaany = Scale;
Chasm To Wusat-E-Aflaak Mein Khoyi ‘Saghar’
Dil Ne Ik Aur Jaga Dhoond Liya Eid Ka Chand
Wusat = Expand; Aflaak = Heavens; Khoyi = Lost

Jun 26, 2012

Mohabbat aazmani ho to bas itna hi kafi hai 'Sagar'

Mohabbat aazmani ho to bas itna hi kafi hai 'Sagar'

Mohabbat aazmani ho to bas itna hi kafi hai 'Sagar'
Zara sa rooth kar dekho, manane kon aata hai....

by: Sagar Siddiqui