Showing posts with label Sharab Shayari. Show all posts
Showing posts with label Sharab Shayari. Show all posts

Sep 27, 2017

Har Roz Bhula Dete Ho Kamal Karte Ho

Har Roz Bhula Dete Ho Kamal Karte Ho
Hansty Ko Rula Dete Ho Kamal Karte Ho

Nahi Hai Mohabbat To Saaf Keh Do
Kiun Umeed Barha Dete Ho Kamal Karte Ho

Hum Tumhe Bhoolne Lagte Hain Jab Bhi
Aa K Pyaar Jata Dete Ho Kamal Karte Ho

Jante Bhi Ho K Ek Hi Diya Hai Mere Ghar Me
Phir Bhi Hawa Dete Ho Kamal Karte Ho

Bhoolne Ka Jo Mujhe Har Roz Kehte Ho
Yoon Yaad Dila Dete Ho Kamal Karte Ho

Khud Hi Kehte Ho K Nasha Haram Hai
Aur Jaam Bhi Thama Dete Ho Kamal Karte Ho...

Blogger: Waqas Ali

Aug 22, 2017

Teri Ankhen Kamaal Hain Sahib

Teri Ankhen Kamaal Hain Sahib
Mujh Ko Misl-E-Sharab Lagti Hain...

Submitted By: Tasawar Shah

Dec 22, 2016

Kal Jo Jaam Aankhon Se Pilaya Kisi Ne

Kal Jo Jaam Aankhon Se Pilaya Kisi Ne
Mad-Hosh Para Raha Na Uthaya Kisi Ne

Mujhe Bhi Kuch Ziada Shoq Tha Peeny Ka
Peeny K Bad Jo Hua Na Bataya Kisi Ne

Kabhi Masjid, Kabhi Mandir Main Ghoomta Raha Rat Bhar
Kabhi Musalman, Kabhi Hindu Banaya Kisi Ne

Aadi Bana K May-Kadah Cheen Lia Gaya Mujh Se
Kuch Is Tarha Mujhe Staya Kisi Ne

Qasm Uski Jawab Main Saghar Choo Ho To
Usi Ka Naam Le Kar May-Kady Main Bulaya Kisi Ne...

Submitted By: Ghulam Abbas Saghar

Kal Jo Jaam

Aug 14, 2016

Mangi Hui Muhabbat Ka Maza

Mangi Hui Muhabbat Ka Maza
Bigri Hui Sharaab Jesa Hai...

Submitted By: Hassan Raza

Jun 14, 2016

Jaam Pe Jaam Peny Se Kya Faida

Jaam Pe Jaam Peny Se Kya Faida
Raat Guzri To Utar Jaye Gi

Peena Hai To Kisi Ki Ankhon Se Pi
Umer Sari Nashay Me Guzar JaYe Gi...

Submitted By: Syed Zaibi Ali

Feb 14, 2016

Husn Walon Se To Ache Hain Ye Sharaabi

Husn Walon Se To Ache Hain Ye Sharaabi Log
Apni Zindgi Se Khelte Hain, Kisi K Dil Se Nahi...

Blogger: Waqas Ali

May 2, 2015

Tum Haya Aur Shariyat K Taqazon Ki Baat Karte

Tum Haya Aur Shariyat K Taqazon Ki Baat Karte Ho
Hum Ne Nangay Jismon Ko Malboos-e-Haya Dekha Hai

Hum Ne Dekhe Hain Ahraam Me Lipte Hue Kayi Iblees
Hum Ne May-Khany Me Kayi Baar Khuda Dekha Hai...

Submitted By: Maha

Apr 25, 2015

Gardish-e-Waqt Se Ghabra K Nahi Aya Hun

Gardish-e-Waqt Se Ghabra K Nahi Aya Hun
Kuch Bat Hai Jo Lai Hai Maikhany Tak

Gardish-e-Waqt Ko Jab Chahe Dubo Sakta Hun
Itni To Har Waqt Pari Rehti Hai Paimany Me...

Submitted By: Nandan

Aug 11, 2014

Gham-E-Duniya Me Gham-E-Yaar Bhi Shaamil

Gham-E-Duniya Me Gham-E-Yaar Bhi Shaamil Kar Lo

Nasha Barhta Hai Sharabein Jo Sharabon Me Milen....

Gham-E-Duniya Me

Mar 4, 2014

Mekhanay Me Aaya To Hun Magr Piunga Nahi

Mekhanay Me Aaya To Hun Magr Piunga Nahi SAQI

Ye Sharab Mere Gham Mitane Ki Auqaat Nahi Rakhti...

Mekhanay Me Aaya