Showing posts with label Tahir Javaid Tahir. Show all posts
Showing posts with label Tahir Javaid Tahir. Show all posts

Jul 16, 2012

Mohabbat Me Ibtida Se Hi Imtihan De Rahe Hain - Dard Shayari

Best Imtihan Shayari

Mohabbat me ibtida se hi imtihan de rahe hain,
Apne no-khaiz dil ko tarapne ka samaan de rahe hain... 

Dil ki zarkhaiz matti, akhir wiran kion rahi ab tak?
Jise barsoon se khoon apni, jawan de rahe hain...

Jahan wiranon me tanhai ne jane se kar diya inkar,
Dal kar dairy ham, wiranon ko shan de rahe hain...

Ghamon ka dasa hua hun, ohir bhi ghamon se hai piyan,
Chahat me qurbani ka, naya rujhan de rahe hain...

Jane pehchane chehray, ab pehchane nahi jaate,
Har chehray ko, naye chehray ka guman de rahe hain...

'Tahir' dhoop se nikal kar, thera hai hawa ke saye tale,
Apni zaat ko alag se, ik pehchan de rahe hain....!



Jun 12, 2012

Barsoon ki piyaas, ik nazar me kese mite gi


Barsoon ki piyaas, ik nazar me kese mite gi,
Lagta hai ye zindagi, isi Hasrat me katy gi..

Meri hatheli ki pusht par, uske labon ke nishan,
Surkh laali ab dhoodne se, kahan ghaty gi...?

Labon tak aate baddua, dua ban jati hai,
Dil me chupi Mohabbat ab aise hi uthy gi..

Na barha jigar sooz dard, maan ja dil ki baat,
Dunya janti hai tere Sitam, tare aage daty gi..

Jage hain tamam raat, chaand ki ik Jhalak ko,
Na jaane ye Kali badli, aage se kab haty gi...

'Tahir' ne daal diye hain, teri gali me Dairyy,
Suna hai jaldh hi tere, didaar ki Khairaat batyy gi...!

By: Tahir Javaid Tahir



May 28, 2012

Shehar-e-Khmoshan Me Roz Ka Aana Jana - Urdu Poetry



Shehar-e-Khmoshan Me Roz Ka Aana Jana Hai Ab Apna
"Tahir" Apne Liye Ab Aakhri Aaraam Gah Dhoond Raha Hai...!


by: Tahir Javaid Tahir