Jan 16, 2018

Me Tera Zarf Dekhta Rahun Ga

Me Tera Zarf Dekhta Rahun Ga
Tu Meri Khaak Ka Tamasha Kar...

Me Tera Zarf

Jan 15, 2018

Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kar Lia Us Ne

Bohat Din Ho Gaye Shayad Sahara Kar Lia Us Ne
Humary Bad Bhi Akhir Guzara Kar Lia Us Ne
Humara Zikr To Us K Labon Par Aa Nahi Sakta
Humain Ehsas Hai Hum Se Kinara Kar Lia Us Ne...

Bohat Din Ho

Be-Dil Be-Zameer Be-Sharam Be-Haya

Be-Dil, Be-Zameer, Be-Sharam, Be-Haya
Wo Darinda Jis Ne Phool Ko Apne Pairon Taly Kuchla...

Submitted By: Hamza

Be-Dil Be-Zameer

Jan 13, 2018

Ab Kya Dhoondte Ho Jale Kaghaz Ki Raakh Me

Ab Kya Dhoondte Ho Jale Kaghaz Ki Raakh Me
Wo Afsana Hi Jal Gaya Jis Ka Unwan Tum The...

Ab Kya Dhoondte

Jan 11, 2018

Hazaar Mosam Badal Chuky Hain

Hazaar Mosam Badal Chuky Hain
Magar Hai Dil Me Khizaan Ka Mosam

Bichar K Tum Se Kahan Hun Zinda
Guzar Raha Hai Saza Ka Mosam

Mohabbaton Me Kahan Hai Chahat
Kahan Raha Ab Qaza Ka Mosam

Khalish Rahi Ye K Tum Manaty
Par Aa Chuka Ab Nazaa Ka Mosam

Wohi Mile Ga Jo Boya Tum Ne
Jo Aya Ek Din Jaza Ka Mosam

'Ali' Me Us Ko Bhulaun Kese
Wohi Hai Dil Ki Raza Ka Mosam...

Submitted By: Muhammad Rizwan

Do Din Ki Khushi Umar Bhar Ka Rog

Do Din Ki Khushi Umar Bhar Ka Rog
Wah Re Mohabbat Teri Sood Khoriyan...

Submitted By: Ansar Abbas

Do Din Ki

Bohat Mazboot Rishte The

Bohat Mazboot Rishte The
Bohat Kamzor Logon Se...

Submitted By: Ansar Abbas

Bohat Mazboot Rishte

Tumhara Kya Bigara Tha Jo Tum Ne Tor

Tumhara Kya Bigara Tha, Jo Tum Ne Tor Hi Dala
Me Ye Tukray Nahi Lunga, Mujhe Tum Dil Bana Kar Do...

Submitted By: Seraj Qamar

Tumhara Kya Bigara

Jan 10, 2018

Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kiun Nahi Jate

Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kiun Nahi Jate
Ye Log Bhi Kya Log Hain Mar Kiun Nahi Jate

Hai Kon Zamany Me Mera Puchne Wala
Nadaan Hain Jo Kehte Hain K Ghar Kiun Nahi Jate

Sholay Hain To Kiun In Ko Bharakte Nahi Dekha
Hain Khaak To Rahon Me Bikhar Kiun Nahi Jate

Ansoo Bhi Hain Ankhon Me Duain Bhi Hain Lub Par
Bigray Hue Halaat Sanwar Kiun Nahi Jate...

*Habib Jalib*
Submitted By: Shahid Aziz Anjum

Humain Ata Hi Nahi Zakhmon Ki Numaish Karna

Humain Ata Hi Nahi Zakhmon Ki Numaish Karna
Khud Hi Rote Hain, Tarapte Hain, Behel Jate Hain...

Humain Ata Hi