Jan 26, 2014

Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha

Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha
Sar-e-Bazm Raat Ye Kya Hua
Meri Aankh Kese Chalak Gai
Mujhe Ranj Hai Ye Bura Hua
Meri Zindagi K Charaagh Ka
Ye Mizaaj Bhi Koi Naya Nahi
Kabhi Roshni Kabhi Tareeki
Na Jala Hua Na Bujha Hua
Mujhe Jo Bhi Dushman-e-Jaan Mila
Wohi Pukhta Kaar-e-Jafa Mila
Na Kisi Ki Zarb Galat Pari
Na Kisi Ka Teer Khata Hua...

Mujhe Apne Zabt

0 comments:

Post a Comment

Add your comments, Poetry related to this Poetry.