Aug 12, 2014

Koi Chehra Hua Roshan Na Ujaagar Ankhain

Koi Chehra Hua Roshan Na Ujaagar Ankhain

Aina Dekh Rahi Thi Meri Pathar Ankhain

Le Uri Waqt Ki Andhi Jinhe Apne Hamraah

Aj Phir Dhoond Rahi Hain Wohi Manzar Ankhain

Phoot Nikli To Kayi Shahar-E-Tamanna Dooby

Ek Qatre Ko Tarasati Hui Banjar Ankhain

Us Ko Dekha Hai To Ab Shauq Ka Wo Aalam Hai

Apne Halakon Se Nikal I Hain Bahar Ankhain

Tu Nigahon Ki Zuban Khoob Samajhta Hoga

Teri Jaanib To Utha Karti Hain Aksar Ankhain

Log Marte Na Dar-O-Baam Se Takra K Kabhi

Dekh Lete Jo "Kamal" Us Ki Samandar Ankhain...

Koi Chehra Hua

0 comments:

Post a Comment

Add your comments, Poetry related to this Poetry.