Tere Lehje Main Jo Khanki Hai Kabhi Socha Hai

Tere Lehje Main Jo Khanki Hai Kabhi Socha Hai

Ye Mere Jism Ko Be-Jaan Kiye Jati Hai

Teri Yad Main Tujh Ko Kahan Khabar Hai Sanam

Ye ‘Nimra’ Roz Toot’ti Hai Bikhar Jati Hai

Yoon Tere Hijr Main Din Rat Mere Kat’te Hain

K Jese Rooh Meri Nilaam Hui Jati Hai

Main Tere Pyar Ko Har Pal Tarasti Rehti Hun

Yunhi Har Sham Meri Roz Guzar Jati Hai

Teri Narazgi Halat Ye Meri Karti Hai

K Jese Jism Se Ye Jaan Nikal Jati Hai

Teri Har Bat Yad Kar K Dil Ye Rota Hai

Meri Har Sham Jana Yoon Teri Ho Jati Hai

Faqat Ye Rabta Hi To Sahara Hai Mera

Us Ki Har Bat Gehra Zakhm Bhi De Jati Hai

Tere Deedar Ko Ankhain Meri Tarasti Hain

Aur Har Roz Ye Khawahish Bhi Bikhar Jati Hai…

Submitted By: Nimra Malik

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *