Category: Barish Poetry
Kabhi Sehra Tera Lehja, Kabhi Baarish Teri Batain
Kabhi sehra tera lehja, kabhi baarish teri batain Kabhi thanda tera lehja, kabhi aatish teri batain
Seenay Main Simat Te Hain
Seenay main simat te hain, ashkon main chamakte hain Bheegay howay mausam main dukh aur sulagte hain
Tumharay Shehar Ko Baadal Mubarik Ho
Tumharay shehar ko baadal mubarik ho Humaray shehar main aankhain barasti hain
Apni Her Boond Main Teri Yaad Ki Lazzat Le Ker
Apni her boond main teri yaad ki lazzat le ker Barishain aag laganay ka hunar layee hain
Kesay Chup Chaap Barasti Hay Musalsal Barish
Kesay chup chaap barasti hay musalsal barish Jaisay chup chaap barasta hay tasawwur tera
Gham Ki Barish Ne Teray Naqsh Ko Dhoya Nahi
Gham ki barish ne teray naqsh ko dhoya nahi Tu ne mujhay kho diya main ne tujhay khoya nahi
Barish Suhana Mausam Aur Garam Chae
Barish suhana mausam aur garam chae Sub mil ker mera dil jala rahay hain
Jo Ana Chaho Hazaar Raste
Jo ana chaho hazaar raste, na ana ho tu uzr hazaron Mizaaj berhum, taweel rasta, barasti barish, kharab mausam