Udaas To Bohat Rahay Per Kabhi Zaahir Nahi Kiya
Udaas to bohat rahay per kabhi zaahir nahi kiya Theek hoon bas is lafz ne sub sanbhaal liya
Udaas to bohat rahay per kabhi zaahir nahi kiya Theek hoon bas is lafz ne sub sanbhaal liya
Is qadar boojh hay neendon ka meri aankhon per Main ne thak haar ker sona nahi mer jana hay!
Rooz jholi main naye dard ulat daita hay Waqt se daikha nahi jata mera daaman khali!
Usko sunlon to, sabhi dard sukoon lagtay hain Janay kis dhun se woh lafzoon ko ada kerta hay
Mujhay kuch is tareeqay se bhi woh mumtaaz kerta hay Sabhi logon main bus mujhko nazar andaaz kerta hay!
Aisa lagta hay maut bohat nazdeek hay meray! Ghabrahat, be chaini aur takleef gawah is baat ki!
Acha howa tum jaldi badal gaye warna Meri umeedain aur bhi gehri ho jateen
Lehja-e-yaar main zehar hay bicho ki tarah Woh mujhay aap to kehta hay magar to ki tarah
Nahi hay Hoosla mujh main tumhain khoone ka sunlo Ye dunya mujhay kho day gi agar tum kho gye mujhse
Rooz hota hay taruf kisi sachai se Rooz ik shakhs meray dil se utar jata hay