Main Soochta Raha Raat Bhar, Kerwat Badal Ker
Main soochta raha raat bhar, kerwat badal ker Woh shakhs itna kiyon badal giya, mujhay badal ker!
Main soochta raha raat bhar, kerwat badal ker Woh shakhs itna kiyon badal giya, mujhay badal ker!
Woh shakhs hi meray lashkar se baghawat ker giya Jang jeet ker saltanat jis ke naam kerni thi!
Daikh main gardish-e-ayaam utha laya hoon Ab bata kon se lamhe ko bulaoon wapis?
Hum ne usko likha tha, kuch milne ki tadbeer kero Usne likh ker bhaija hay, waqt mila to soochain gay!
Kaash ruk jain tasasalsul se chalti saansain Kaash kul subha tuk main merhoom bulai jaon
Raat kholay thay kuch puranay message Phir mohabbat mobile main wapis rakhdi !
Aadat usay bhi hogye hay roonay ki be sabab Mera sa hogiya hay meray gham-khuwaar ka mizaaj
Khuda tumhain bhi berbaad keray ga daikh laina tum ne mera Sukoon cheena hay meri khushiyon ke qatil ho tum
Main aas paas hi dawaaz daita phirta hoon Koi hay jisay mohabbat nahi mili ab tuk….!
Main dawaydaar tha chahat main jaan dainay ka! Main teray baad bhi zinda raha munafiq thahra!