Aur Unki Nazrain Na Jaan Pai Achaiyan Hamari Muhsin
Aur unki nazrain na jaan pai achaiyan hamari Muhsin Hum jo sach main kharaab hotay to socho kitne fasaad hotay
Aur unki nazrain na jaan pai achaiyan hamari Muhsin Hum jo sach main kharaab hotay to socho kitne fasaad hotay
Hum ne soocha tha ke batain gay sub dard tumko Per tum ne itna bhi na poocha ke khamoosh kiyon...
Badal diya hay mujhay meray chahnay waloon ne hi Warna mujh jaisay shakhs main itni khamooshi kahan thi
Tum mat kholna meri maazi ki kitaabon ko Jo thi woh rahi nahi jo hoon kisi ko pata nahi
Phir se aik baar dil ko toord meray Tujh pe kuch aetibaar baqi hay
Sooji aankhain, nangay paon, baal bikhray hain Aa daikh! teray ishq main hum kaisay nikhray hain
Phir yoon howa ke hasratain peroon main gir pardeen Phir main nay in ko roond ke qissa khatam ker diya
Mansoob teri zaat se ranaiyaan tamam Teray bina hayaat main koi dilkashi nahi
Tujh ko chahoon andaaz badal badal ke Meri zindagi ka akloota ishq ho tum
Saza koi bhi do magar hamaisha saath raho Tumharay bina jeenay ki aadat nahi mujhay