Showing posts with label Sawan Poetry. Show all posts
Showing posts with label Sawan Poetry. Show all posts

Jun 20, 2012

Kal raat barasti rahi saawan ki ghata bhi,


Kal raat barasti rahi saawan ki ghata bhi,
Aur ham bhi teri yaad me dil khool ke roye...!


Jun 8, 2012

Mera Sawan Bhi Tum Hoo, Meri Pyaas Bhi Tum Hoo




Mera Sawan Bhi Tum Hoo, Meri Pyaas Bhi Tum Hoo..!
Sehra Ki Bahon Main Chupi Aas Bhi Tum Hoo..!

Tum Yun To Bohat Door Bohat Door Ho Mujh Se..!
Ehsas Ye Hota Hai Mere Paas Bhi Tum Hoo..!

Har Zakham Ki Aaghosh Main Hai Dard Tumhara ..!
Har Dard Main RAHAT Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..!

Kho Jao To Veeran Si Ho Jati Hain Rahein ..!
Mil Jao To Phir Jeeny Ka Ehsas Bhi Tum Hoo..!

Likhta Hun To Tum Hi Utarty Ho Qalam Se..!
Parhta Hon To Lehja Bhi Tum, Awaz Bhi Tum Hoo..!


May 28, 2012

Barish hui to phulon ke tan chak ho gaye - Parveen Shakir



Barish hui to phulon ke tan chak ho gaye
mausam ke hath bhig ke saffak ho gaye

baadal ko kya khabar ke barish ki chah main
kitne buland-o-bala shajar khaak ho gaye

jugnu ko din ke waqt pakarne ki zid karen
bache hamare ahad ke chalak ho gaye

lahra rahi hai barf ki chadar hata ke ghas
suraj ki shah pe tinak bhi bebak ho gaye

suraj dimag log bhi iblag-e-fikr main
zulf-e-shab-e-firaq ke pechak ho gaye

jab bhi garib-e-shahar se kuch guftagu hui
lahaje hawa-e-sham ke namnak ho gaye

sahil pe jitne aab_guzida the sab ke sab
dariya ke rukh badalte hi tairak ho gaye

By: Parveen Shakir

(Chaak = Torn ; Saffak = Cruel) (ahad = times) ( aab_guzida = scared of water ; Tairak = swimmers)