Sep 11, 2012

Bichra Hai Jo Ik Baar To Milte Nahi Dekha - Ghazal

Bichra-Parveen-Shakir

Parveen Shakir Ghazal

Bichra Hai Jo Ik Baar To Milte Nahi Dekha
Is Zakham Ko Ham Ne Kabhi Silte Nahi Dekha
Zakham = Wound
Ik Baar Jise Chaat Gai Dhoop Ki Khuahish
Phir Shakh Pe Is Phool Ko Khilte Nahi Dekha
Chaat = Eat up; Khuahish = Desire; Khilte = Bloom;
Yak_Lakht Gira Hai To Jarain Tak Nikal Aain
Jis Peir Ko Aandhi Mein Bhi Hilte Nahi Dekha
Yak_Lakht = All of a Sudden; Gira = Fell; Jarain = Roots; Peir = Tree;
Aandhi = Dust Storm;
 
Kanton Me Ghire Phool Ko Choom Aaye Gi Lekin
Titli Ko Paron Ko Kabhi Chilte Nahi Dekha
Kanton = Thorns; Choom = Kiss; Titli = Butterfly;
Kis Tarah Meri Rooh Ko Hari Kar Gaya Aakhir
Wo Zehar Jise Jism Me Khilte Nahi Dekha
Rooh = Soul; Aakhir = Finally; Jism = Body; Zehar = Poison;

0 comments:

Post a Comment

Add your comments, Poetry related to this Poetry.