Showing posts with label Bashir Badr. Show all posts
Showing posts with label Bashir Badr. Show all posts

Sep 23, 2012

Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar - Bashir Badr

Aankhon-Bashir-Badr

Bashir Badr Ghazal

Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha
Kashti Ke Musafir Ne Samander Nahi Dekha
Kashti = Ship;
Be Waqt Ager Ghar Jaon Ga Sab Chonk Parein Gey
Ik Muddat Hui Din Me Kabhi Ghar Nahi Dekha
Chonk = Surprised; Muddat = Period
Jis Din Se Chala Hon Meri Manzil Pe Nazar Hai
Aankhon Ne Kabhi Mail Ka Pathar Nahi Dekha
Manzil = Destiny;
Yaaron Ki Mohabbat Ka Kar Liya Yaqeen Mein Ne
Phoolon Mein Chupaya Hua Khanjar Nahi Dekha
Yaqeen = Believe; Khanjar = Knife
Ye Phool Mujhe Koi Wirasat Mein Mile Hain
Tum Ne Mera Kanton Bhara Bistar Nahi Dekha
Wirasat = Inheritance; Kanton = Thorns; Bistar = Bed
Pathar Mujhe Kehta Hai Mera Chahne Wala
Mein Mom Hun, Us Ne Mujhe Chu Kar Nahi Dekha
Mom = Wax
Wo Shakhs Mere Masail Ko Samajh Nahi Sakta
Jis Ne Meri Aankhon Mein Samander Nahi Dekha
Masail = Problems

Sep 19, 2012

In Aankhon Se Din Raat Barsat Hogi - Bashir Badr

Bashir Badr's ghazal

Bashir Badr Ghazal

In Aankhon Se Din Raat Barsaat Hogi
Ager Zindagi Sirf Jazbaat Hogi..
Jazbaat = Emotions
Musafir Ho Tum bhi, Musafir Hain Hum Bhi
Kisi Mor Par Phir Mulaqaat Hogi

Sadaon Ko Ilfaaz Milne Na Payn
Na Badal Ghirain Na Barsaat Hogi
Sadaon = Sounds; Ghirain = Surround
Chiraghon Ko Aankhon Mein Mehfoz Rakhna
Bari Door Tak Raat Hi Raat Hogi
Chiraghon = Lamps; 
Azal Se Abad Tak Safar Hi Safar Hai
Kahin Subha Hogi Kahin Raat Hogi
Azal = Start; Abad = End

Jul 19, 2012

Parakhna Mat Parakhne Mein - Bashir Badr Shayari

best bashir badr

Poetry In Roman Urdu Script:


Parakhna mat parakhne mein koi apna nahi rehta,
Kisi bhi Aaina me dair tak chehra nahi rehta...

Baray logon se milne me hamesha fasla rakha,
Jahan darya samandar se mila, darya nahi rehta...

Hazaron shair mere so gaye kaghaz ki qabron mein,
Ajab Maa hun koi bacha mera zinda nahi rehta....

Tumhara Shehar to bilkul naye andaz wala hai,
Hamare shehar me bhi ab koi hum sa nahi rehta...

Mohabbat aik khushbu hai hamesha saath chalti hai,
Koi insan tanhai me bhi tanha nahi rehta....

Koi badal haray mausam ka phir ailan karta hai,
Khizan ke bagh jab aik bhi patta nahi rehta...

Poetry In Urdu Script:


پرکھنا مت، پرکھنے میں کوئی اپنا نہیں رہتا،
کسی بھی آئینے میں دیر تک چہرہ نہیں رہتا

بڑے لوگوں سے ملنے میں ہمیشہ فاصلہ رکھنا
جہاں دریا سمندر سے ملا ، دریا نہیں رہتا 

ہزاروں شعر میرے سو گئے کاغذ کی قبروں میں
عجب ماں ہوں کوئی بچہ میرا زندہ نہیں رہتا

محبت ایک خوشبو ہے ہمیشہ ساتھ چلتی ہے.
کوئی انسان تنہائی میں بھی تنہا نہیں رہتا

کوئی بدل ہرے موسم کا پھر اعلان کرتا ہے
خزاں کے باغ میں جب کوئی پتا نہیں رہتا...

Parakhna Mat Parakhne Mein - Video