Showing posts with label Daagh Dehlvi. Show all posts
Showing posts with label Daagh Dehlvi. Show all posts

Jan 9, 2015

Hamain Hai Shoq K Be-Parda Tum Ko Dekhen

Hamain Hai Shoq K Be-Parda Tum Ko Dekhen Ge
Tumhe Hai Sharm To Aankhon Pe Hath Dhar Lena...

Hamain Hai Shoq

Dec 4, 2014

Koi Naam-o-Nishan Puche To Aye Qaasid

Koi Naam-o-Nishan Puche To Aye Qaasid Bata Dena

Takhallus Daagh Hai Aur Aashiqon K Dil Me Rehte Hain...

Koi Naam-o-Nishan

Nov 2, 2013

Is Waham Me Wo Daagh Ko Marne Nahi Dete

Is Waham Me Wo Daagh Ko Marne Nahi Dete,
Mashooq Na Mil Jaye Kahin Zair-e-Zameen Aur...

Is Waham Me Wo Daagh Ko

Oct 8, 2012

Tumhare Khat Mein Ik Naya Salam Kis Ka Tha?

Tumhare-Khat-Mein

Tumhare khat mein naya ik salaam kis kaa tha?
Na tha raqib to aakhir wo naam kis ka thaa?
Raqib = rival; aakhir = end 
Wo qatal kar ke har kisi se poochtey hain
Ye kaam kis ne kiya hai? Ye kaam kis ka tha?
Qatal = assassination
Wafa karenge nibhaaheinge baat maanein ge
Tumhein bhi yaad hai kuch ye kalam kis ka tha?
Wafa = fulfillment; nibhaah = loyalty; kalam = speech 
Rahaa na dil mein wo be-dard aur dard raha
Muqeem kon hua hai maqaam kis ka tha
Be-dard = feelingless; muqeem = remaining; maqaam = location 
Na pooch-gach thi kisi ki wahan na aao-bhagat
Tumhaari bazm mein kal ehtamaam kis kaa tha
Pooch-gach = inquiry; aao-bhagat = welcome of supporters; bazm = meeting 
Tamam bazm jise sun kar reh gai mushtaaq
Kaho wo tazkara na-tamaam kis ka tha?
Tazkara = Mentioned; Na-tamaam = partion
Guzar gaya wo zamana, kahoon to kis se kahon
Khayal dil ko mere subh-o-shaam kis ka tha…?
Guzar Gaya = Passed away; Zamana = Era; Khayal = Care