Showing posts with label Habib Jalib. Show all posts
Showing posts with label Habib Jalib. Show all posts

Jan 10, 2018

Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kiun Nahi Jate

Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kiun Nahi Jate
Ye Log Bhi Kya Log Hain Mar Kiun Nahi Jate

Hai Kon Zamany Me Mera Puchne Wala
Nadaan Hain Jo Kehte Hain K Ghar Kiun Nahi Jate

Sholay Hain To Kiun In Ko Bharakte Nahi Dekha
Hain Khaak To Rahon Me Bikhar Kiun Nahi Jate

Ansoo Bhi Hain Ankhon Me Duain Bhi Hain Lub Par
Bigray Hue Halaat Sanwar Kiun Nahi Jate...

*Habib Jalib*
Submitted By: Shahid Aziz Anjum

Jan 13, 2017

Ansu Bhi Hain Ankhon Me Duaaen Bhi Hain

Ansu Bhi Hain Ankhon Me Duaaen Bhi Hain Lub Par
Bigre Hue Halaat Sanwar Kiun Nahi Jate...

Ansu Bhi Hain

Jan 12, 2017

Ye Dais Hai Andhe Logon Ka

Ye Dais Hai Andhe Logon Ka
Aye Chand Yahan Na Nikla Kar...

Ye Dais Hai

Aug 14, 2014

Farangi Ka Jo Main Darbaan Hota

Farangi Ka Jo Main Darbaan Hota
To Jeena Kis Qadar Aasaan Hota

Mere Bachay Bhi Amreeka Main Parhte
Main Har Garmi Main Inglistaan Hota

Meri English Bhi Balaa Ki Chust Hoti
Balaa Se Jo Naa Urdu-Daan Hota

Jhuka K Sar Ko Ho Jata Jo Sir Main
To Leader Bhi Azeem-ul-Shaan Hota

Zameenain Meri Har Soobay Main Hoti
Main Wallah Sadr-e-Pakistan Hota...

Habib Jalib

Farangi Ka Jo Main

Aug 28, 2012

Is Dard Ki Duniya Se Guzar - Habib Jalib Poetry

Habib-Jalib-Poetry

Urdu Poetry - Dard Shayari

Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kion Nahi Jate
Ye Log Bhi Kia Log Hain, Mar Kion Nahi Jate

Hai Kon Zamane Mein Mera Poochne Wala??
Nadaan Hain Jo Kehte Hain Ke Ghar Kion Nahi Jate..
Nadaan = Silly
Shouley Hain To Kion In Ko Bharakte Nahi Dekha??
Hain Khak To Rahon Mein, Bikhar Kion Nahi Jate…
Shouley = Flame; Bharakte = Flashpoint; Khak = Dust; Bikhar = Scattered
Aansu Bhi Hain Aankhon Mein, Dua’in Bhi Hain Lab Par,
Bigrey Hue Halaat, Sanwar Kion Nahi Jate….