Showing posts with label Nasir Kazmi. Show all posts
Showing posts with label Nasir Kazmi. Show all posts

Dec 3, 2016

Pathar Bana Dia Mujhe Rony Nahi Dia

Pathar Bana Dia Mujhe Rony Nahi Dia
Daman Bhi Tere Gham Ne Bhigony Nahi Dia

Tanhaiyan Tumhara Pata Poochti Rahin
Shab Bhar Tumhari Yad Ne Sony Nahi Dia

Ankhon Me Aa K Baith Gai Ashkon Ki Leher
Palkon Pe Koi Khawab Pirony Nahi Dia

Dil Ko Tumhare Naam K Aansu Azeez The
Duniya Ka Dard Us Me Samony Nahi Dia

Nasir Yoon Us Ki Yad Chali Hath Tham K
Mely Me Us Jahan K Khony Nahi Dia...

Pathar Bana Dia

Oct 20, 2012

Gaye Dinon Ka Suraagh Le Kar Kidhar - Nasir Kazmi

Nasir-Kazmi-Gaye-Din

Nasir Kazmi Ghazal

Gaye Dinon Ka Suraagh Le Kar Kidhar Se Aaya Kidhar Gaya Wo
Ajeeb Manoos Ajnabi Tha, Mujhe To Hairaan Kar Gaya Wo

Khushi Ki Raat Ho Keh Gham Ka Mausam, Nazar Usy Dhoondti Hai Har Dam
Wo Boye Gul Tha Keh Naghma-E-Jaan, Mere To Dil Mein Utar Gaya Wo

Wo Maikadey Ko Jagane Wala, Wo Raat Ki Neend Uraney Wala
Ye Aaj Kia Is Ke Jee Mein Aai Keh, Shaam Hote Hi Ghar Gaya Wo

Wo Jis Ke Kandhon Pe Haath Rakh Kar Safar Kia Tu Ne Manziloon Ka
Teri Gali Se Najaney Koin Aaj Sar Jhukaye Guzar Gaya Wo

Wo Raat Ka Be Nawa Musafir, Wo Teri Shayr, Wo Tera ‘Nasir’
Teri Gali Tak To Ham Ne Dekha Tha Phir Najaney Kidhar Gaya Wo

Sep 4, 2012

Dil Mein Ik Leher Si Uthi Hai Abhi - Nasir Kazmi Poetry

Dil mein ik  Lehar

Nasir Kazmi Poetry - Ghazal

Dil Mein Ik Leher Si Uthi Hai Abhi,
Koi Taza Hawa Chali Hai Abhi….
Leher = Wave; Taza = Fresh
Shoor Barpa Hai Khana-e-Dil Mein..
Koi Deewar Si Giri Hai Abhi…
Shoor = Noise; Barpa = Induced; Khana = Home
Bhari Duniya Mein Jee Nahi Lagta
Jane Kis Cheez Ki Kami Hai Abhi…
Bhari = Full
Yaad Ke Be-Nishaan Jazeeron Mein
Teri Awaaz Aa Rahi Hai Abhi…
Be-Nishaan = Unmarked; Jazeeron = Islands
Shehar Ki Be Chiraagh Galiyon Mein
Zindagi Tujh Ko Dhoondti Hai Abhi…
Shehar = City; Be-Chiraagh = Without Lamps; 
So Gaye Log Is Haweli Ke
Ik Khirki Mager Khuli Hai Abhi..
Haweli = Mension; Khirki = Window; Khuli = Opened;
Waqat Acha Bhi Aaye Ga ‘Nasir’
Gham Na Kar Zindagi Pari Hai Abhi…
Gham = Grief

Dil Mein Ik Leher Si Uthi Hai Abhi - Video


Aug 11, 2012

Aey Hum Sukhan Wafa Ka Taqaza Hai Ab Yehi - Nasir Kazmi

Love Poetry

Roman Urdu Script - Love Poetry

Aey hum sukhan wafa ka taqaza hai ab yehi,
Mein apne hath kaat lon, tu apne hont see..

hum sukhan= Friend; taqaza= Requirement;

Kin be-dilon mein phaink diya hadsaat ne,
Aankhon mein jin ki noor na baaton me taazgi..

hadsaat= Accidents

Bol aey mere diyaar ki soi hui zameen,
Mein jin ko dhoondta hun kahan hain wo aadmi?

diyaar= homeland; aadmi= men;

Meethe the jin ke phal, wo shajar kat kata gaye,
Thandi thi jis ki chaaon wo deewar gir gai..

Meethe= sweet; phal= fruits; chaaon= shade; deewar= wall

Bazaar band, raaste sunsan, be-chiraagh,
Wo raat hai ke ghar se nikalta nahi koi…

Bazaar=  Markets; sunsan= lonely; be-chiraagh= without lamp;

‘Nasir’ bohat si khuwahishain dil me hain be-qarar,
Lekin kahan se laaon woh be-fikar zindagi…

Khuwahishain= wishlists; 

by: Nasir Kazmi

Urdu Script - Love Poetry

اے ہم سخن وفا کا تقاضا ہے اب یہی
میں اپنے ہاتھ کاٹ لوں، تو اپنے ہونٹ سی


کن بے دلوں میں فیک دیا حادثات نے
آنکھوں میں جن کی نور نہ باتوں میں تازگی


بول اے مرے دیار کی سوئی ہی زمیں
میں جن کو ڈھونڈتا ہوں کہاں ہیں وہ آدمی


میٹھے تھے جن کے پھل، وہ شجر کٹ کٹا گئے
ٹھنڈی تھی جس کی چھاؤں وہ دیوار کٹ گئی


بازار بند، راستے سنسان، بے چراغ
وہ رات ہے کے گھر سے نکلتا نہیں کوئی


ناصر بوہت سی خواہشیں دل میں ہیں بے قرار
لیکن کہاں سے لاؤں وو بے فکر زندگی

Feb 17, 2012

Niyat e shauq bhar na jaye Kahin | Romantic Poetry


"Nasir kazmi"
Niyat-e-shauq bhar na jaye kahin,
tu bhi dil se utar na jaye kahin..

aj dekha hai tujhe der k bad,
aj ka din guzar na jaye kahin..

na mila kar udas logon se,
husn tera bikhar na jaye kahin..

arzu hai k tu yahan aye,
aur phir umr bhar na jaye kahin..

ji jalata hun aur ye sochta hun,
rayegan ye hunar na jaye kahin..

ao kuch der ro hi len 'Nasir',
phir ye dariya utar na jaye kahin..!


Tags: Nasir Kazmi Poetry, Nasir Kazmi, kuch dair ro hi lain, husn shayari, udas log, niyat e shauq, dard bhari shayari, urdu ghazal, urdu poetry, husn poetry