Aug 11, 2016

Sochna Chor Bhi De Aye Dil-E-Nakaam Usy

Sochna Chor Bhi De Aye Dil-E-Nakaam Usy
Tere Siwa Bhi Hain Duniya Main Kayi Kaam Usy

Tu K Barbad Hai, Bad-Naam Hai, Gum-Naam Bhi Hai
Chahte Hain Kayi Mash-Hoor Naik Naam Usy

Tu K Har Dor Ki Har Daur Main Nakaam Raha
Aur Milte Hi Chale Aye Hain Inaam Usy

Teri Qabar Pe Tu Kutba Na Theher Paye Ga
Acron Mil Gaye Hain Maqbary K Naam Usy

Teri Khushiyon Main Khush Tha Haye Afsos Magar
Tere Gham Ka Na Raha Koi Ehtaraam Usy

Sambhal Dil Ko Asad Apne Aur Sakoon Se Phir
KHUDA Pe Chor De, Karne De Us K Kaam Usy...

Submitted By: Assad Raza

Sochna Chor Bhi

0 comments:

Post a Comment

Add your comments, Poetry related to this Poetry.