Showing posts with label Allama Iqbal. Show all posts
Showing posts with label Allama Iqbal. Show all posts

Aug 14, 2013

In Taaza Khanda’on Me Bara Sab Se Watan Hai - Iqbal

Independence-Day-2013-Poetry

In Taaza Khanda’on Me Bara Sab Se Watan Hai..
Jo Perahan Is Ka Hai Wo Mazhab Ka Kafan Hai….!

Mar 2, 2013

Ye Pichle Pehar Ka Zard Ru Chand - Allama Iqbal Poetry

Ye Pichle Pehar Ka Zard Ru Chand,
Be Raaz-o-Niyaaz-e-Aashnai,
Teri Qandeel Hai Tera Dil,
Tu Aap Hai Apni Rooshnai…!

Allama Iqbal Inspirational

Jan 21, 2013

Ki Mohammad Se Wafa Tu Ne, To Ham Tere Hain - Eid Milad Un Nabi

Ki Mohammad (PBUH) Se Wafa Tu Ne, To Ham Tere Hain,
Yeh Jahan Cheez Hai Kia, Looh-o-Qalam Tere Hain…!

Mohammad Se Wafa

Jan 16, 2013

Jafa Jo Ishq Mein Hoti Hai, Wo Jafa Hi Nahi - Iqbal

Jafa Jo Ishq Mein Hoti Hai, Wo Jafa Hi Nahi,
Sitam Na Ho To Mohabbat Mein Kuch Maza Hi Nahi….

Mohabbat Iqbal

Jan 7, 2013

Zamana Aaya Hai Be_Hajjabi Ka - Iqbal Poetry

Zamana Aaya Hai Be_Hajjabi Ka, Aam Deedar-e-Yaar Hoga,
Sakoot Tha Parda_Daar Jiska, Wo Raaz Ab Aashkar Hoga…

Zamana Allama Iqbal

Oct 3, 2012

Sajdon Ke Iwaz Firdous Mile - Allama Iqbal Poetry

Iqbal-Inspirational-Poetry

Iqbal 2 Line Poetry

Sajdon Ke Iwaz Firdous Mile, Ye Baat Mujhe Manzor Nahi,
Be_Loos Ibadat Karta hun Banda Hun Tera Mazdoor Nahi…
Iwaz = Instead of; Firdous = Paradise; Manzoor = Accept; Mazdoor = Labor

Sep 4, 2012

Har Lehza Hai Momin (Mard-e-Musalman) - Allama Iqbal Poetry

Har Lehza Hai Momin

Allama Iqbal Poetry - Inspirational Poetry

Har Lehza Hai Momin Ki Nai Shan, Nai Aan
Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan.!

Qahhari-O-Guffari-O-Quddusi-O-Jabroot
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman..

Hamsaya-E-Jibreel-E-Ameen, Banda-E-Khaaki
Hai Is Ka Nashaiman Na Bukhara Na Badakhsaan

Yeh Raaz Kisi Koi Nahi Maloom Ke Momin,
Qari Nazar Ata Hai, Haqeeqat Mein Hai Quraan..

Qudrat Ke Maqasir Ka Ayyar Is Kay Iraday
Duniya Mein Bhi Maizan, Qayamat Mein Bhi Maizan

Jis Se Jigar-E-Lala Mein Thandak Ho, Wo Shabnam
Daryaaon Ke Dil Jis Se Dehal Jayen, Wo Taufaan

Khuda Tujhe Kisi Toufan Se Aashna - Iqbal Inspirational Poetry

Khuda Dua Poetry

Allama Iqbal Poetry

Khuda Tujhe Kisi Toufan Se Aashna Kar De,
Ke Tere Behar Ki Mojon Mein Istraab Nahi…!
Toufan = Storm; Aashna = Familiar; Behar = Sea; Mojon = Waves; Iztraab = Anxiety

Jul 28, 2012

Nahi Hai Na-Umeed 'Iqbal' - Iqbal Poetry

Iqbal Umeed Poetry

Roman Urdu

Nahi Hai Na-Umeed 'Iqbal' Apni Kasht-e-Wiran Se,
Zara Num Ho To, Ye Mitti Bohat Zarkhaiz Hai Saqi..
by: Allama Iqbal

Urdu

نہیں ہے نا امید اقبال اپنی کشتِ ویراں سے 
ذرا نم ہو تو, یہ مٹی بہت زرخیز ہے ساقی

Jul 25, 2012

Ye Faizan-e-Nazar Tha Ya Ke Maktab Ki Karamat - Iqbal Poetry

Iqbal Best Poetry

Roman Urdu

Ye Faizan-e-Nazar Tha Ya Ke Maktab Ki Karamat Thi,
Sikhaye Kis Ne 'Ismaeel (A.S)'  Ko Adaab-e-Farzandi..?

Urdu

یہ فیضانِ نظر تھا یا کے مکتب کی کرامت
سکھاے کس نے اسمعیل کو آدابِ فرزندی