Showing posts with label Ghazal Shayari. Show all posts
Showing posts with label Ghazal Shayari. Show all posts

Dec 11, 2017

Kab Duaaon Ka Mohtaj Hota Hai

Kab Duaaon Ka Mohtaj Hota Hai
Ishq To La-Elaaj Hota Hai

Is K Apne Asool Hote Hain
Is Ka Apna Riwaaj Hota Hai

Ishq K Ain Se Ibadat Hai
Ishq Rooh Ka Anaaj Hota Hai

Ishq Jismon Ko Sar Nahi Karta
Is Ka Zehno Pe Raaj Hota Hai

Ishq Me Shah Faqeer Hota Hai
Ishq Kanton Ka Taaj Hota Hai

Ishq Me Koi Had Nahi Hoti
Ishq Me Kal Na Aaj Hota Hai

Ishq Khud Hi Zulm Karta Hai
Ishq Khud Ehtajaaj Hota Hai...

Kab Duaaon Ka

Dec 8, 2017

Sada Si Hai Bat Me Likhne Betha Hun

Sada Si Hai Bat Me Likhne Betha Hun
Dil K Sub Halaat Me Likhne Betha Hun

Koi Nahi Hai Sunta Phir Bhi Jane Kiun
Apne Sub Jazbaat Me Likhne Betha Hun

Sath Guzary The Jo Uski Qurbat Me
Beety Wo Lamhaat Me Likhne Betha Hun

Bheegy The Hum Dono Jis Me Jee Bhar K
Wo Mosam-E-Barsaat Me Likhne Betha Hun

Us Ne Mujhe Ko Chora Beech Do-Raahy Par
Kese Hui Maat Me Likhne Betha Hun

Lub Par Mere Aksar Jo Ata Hi Nahi
Naam Wohi Din Rat Me Likhne Betha Hun

Unki Bat Kya Likhni Lafzon Me Sodagar
Apne Hi Khayalaat Me Likhne Betha Hun...

Submitted By: Shehxad

Dec 3, 2017

Hum Ko Maloom Hai Anjam Humara Murshad

Hum Ko Maloom Hai Anjam Humara Murshad
Is Samandar Ka Nahi Koi Kinara Murshad

Hum Hi Aye Ishq Tere Paun Pary The Aa Kar
Dosh Ab Is Me Nahi Koi Tumhara Murshad

Ab To Jo Kuch Hai Shab-E-Hijr Tere Hath Me Hai
Khak Kar De Ya Bana De Mujhe Taara Murshad

Me Agar Dasht Nahi Dasht Numa Ban Jaun
Is Se Kam Par Nahi Hona Guzara Murshad

Dasht Ki Khaak Urany Pe Hua Hun Mamoor
Koi Tambeeh Mujhe, Koi Ishara Murshad

Yehi Kafi Hai Tera Hijr Nazar Ata Hai
Is Ki Tadfeen Nahi Hum Ko Ganwara Murshad

Aj Samjha Hun Mohabbat Ki Kahani Mohsin
Aj Samjha Hun Kise Kehte Hain Khasara Murshad...

Hum Ko Maloom

Nov 28, 2017

Kisi Ne Na Suni Ek Dewany Ki Sada

Kisi Ne Na Suni Ek Dewany Ki Sada
Sada-E-Loo Me Thi Ek Parwany Ki Baqa
Baqa-E-Yaar Ki Khatir Sada De Deta Magar
Wisaal-E-Yaar Ki Khatir Thi Ek Khamosh Fiza
Khamosh Rehna To Bus Ek Bahana Tha
Wisaal-E-Yaar Tha Phir Bichar Jana Tha
Is Milne Aur Bicharny Ki Kahani Main
Loo Dewani Thi Aur Yaar Parwana Tha...

Submitted By: Adnan Ali Cheema

Nov 22, 2017

Ye Jo Dewany Se Do Char Nazar Aty Hain

Ye Jo Dewany Se Do Char Nazar Aty Hain
In Main Kuch Sahib-E-Israr Nazar Aty Hain

Teri Mehfil Ka Bharam Rakhte Hain So Jate Hain
Warna Ye Log To Bedaar Nazar Aty Hain

Aur Hashar K Din Kya Bany Ga Mera
Yahan Sab Tere Tarafdar Nazar Aty Hain...

Submitted By: Zahid Farid

Nov 21, 2017

Paichida Se Marz Se Do Char Ho Gya Hun

Paichida Se Marz Se Do Char Ho Gya Hun
Main Apne Hi Sehen Main Shumaar Ho Gya Hun

Rehte Hain Tabeeb Bhi Mere Aas Pas
Main In Ki Guftagu Se Lachaar Ho Gya Hun

Keh Do Lala Zaar K Sabhi Nazaron Se
Main Jhurmat-E-Fazaoun Main Bemaar Ho Gya Hun

Aate Hain Ujale Bhi Mera Haal Puchne
Main In K Sakhat Lehje Main Giraftar Ho Gya Hun

Main Kese Maan Jaun K Ye Mere Hain Apne
Main Inhi K Dilason Ka Shikaar Ho Gya Hun

Mumqin To Nahi Sub Amjad Se Hi Sun'na Hai
Main Un Ki Shokh Nazar Se Bedaar Ho Gya Hun...

Submitted By: Amjad Khan

Nov 16, 2017

Kiun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha

Kiun Bhool Gaye Hum Ko Rishta To Purana Tha
Aik Ye Bhi Zamana Hai, Aik Wo Bhi Zamana Tha

Rangeen Fizayein Thi Shokh Adayein Thi
Jazbon Ki Jawani Thi Mosam Bhi Suhana Tha

Seene Se Lagaya Tha Ankhon Pe Bithaya Tha
Maloom Na Tha Tum Ne Yoon Chor K Jana Tha

Kiun Hum Se Khafa Ho Tum Kiun Hum Se Juda Ho Tum
Kya Jurm Hua Hum Se Itna To Batana Tha

Nafrat Se Bhari Nazrein Aik Jaan Hi Le Bethi
Tukre Bhi Kiye Dil K Kya Khoob Nishana Tha...

Kiun Bhool Gaye

Nov 15, 2017

Khizaan K Mausam Ki Sard Shaamen

Khizaan K Mausam Ki Sard Shaamen
Saraab Yaadon K Haath Thaamay

Kabhi Jo Tum Se Hisaab Mangen
Maayusiyon K Nisaab Mangen

Be-Noor Aankhon Se Khawab Mangen
To Jaan Lena K Khawab Saray

Meri Hadon Se Nikal Chukay Hain
Tumhari Chokhat Pe Aa Rukay Hain

Musaafton Se Thakay Hue Hain
Ghubar-E-Raah Se Hatte Hue Hain

Kuch Is Tarha Se Dare Hue Hain
Sawaali Nazron Se Tak Rahe Hain

Tumhari Chokhat Pe Jane Kab Se
Jabeen Jhukaye Hue Khare Hain...

Khizaan K Mausam

Nov 4, 2017

Husn Ki Jheel Ho Tum Aur Kinary Hain Ye Hont

Husn Ki Jheel Ho Tum Aur Kinary Hain Ye Hont
Sach To Ye Hai K Mujhe Jan Se Pyare Hain Ye Hont

Mene Har Bar Mohabbat Se Inhain Chooma Hai
Us Ne Har Bar Mohabbat Se Ubhare Hain Ye Hont

Hath Honton Pe Mere Rakh K Mujhe Kehne Lage
Rokiye In Ko Bohat Shoq K Mare Hain Ye Hont

Band Hote Hain Ye Inkar Ki Soorat Me Magar
Adh Khile Hon To Mohabbat K Ishare Hain Ye Hont

Aaj Khud Apne Muqaddar Pe Mujhe Rashk Aya
Aj Honton Me Mere Us Ne Utare Hain Ye Hont

Choom Kar Hont Mere Us Ne Kaha Ye "Qateel"
Tumhare Hain, Tumhare Hain, Tumhare Hain Ye Hont...

Blogger: Waqas Ali

Oct 13, 2017

Me Jo Mehka To Meri Shaakh Jala Di Us Ne

Me Jo Mehka To Meri Shaakh Jala Di Us Ne
Sabz Mosam Me Mujhe Zard Hawa Di Us Ne

Pehle Ek Lamhe Ki Zanjeer Me Bandha Mujh Ko
Aur Phir Waqt Ki Raftar Barha Di Us Ne

Janta Tha K Mujhe Maut Sakoon Bakhshe Gi
Wo Sitamgar Tha So Jeeny Ki Dua Di Us Ne

Us K Hone Se Thin Saanse Meri Dugni Shayad
Wo Jo Bichra To Meri Umar Ghata Di Us Ne...

Blogger: Waqas Ali

Sep 28, 2017

Khudi Hai Izzat-O-Yaqeen Ka Dastoor Mian

Khudi Hai Izzat-O-Yaqeen Ka Dastoor Mian
Jo Dekh Lia Kahin Pe Ye Satoor Mian

Hai Ishq Wo Bala K Kon Idhar Apna
Hai Ishq Me Dikhta Kahan Fatoor Mian

Ye Ishq Bazon Ki Basti Idhar Kahan Aye
Ye Wo Aitbar Jo Num Aur Phir Choor Choor Mian

Hai Meri Ye Chah Ek Dua Khuda Se
Mil Kar Bhool Gaya Wafa Hun Jo Majbur Mian

Tum Yawar Idhar Udhar Kiun Bhatakte Ho
Karun Ga Hasil Usko Magar Zarur Mian...

Submitted By: Yawar Habib

Khudi Hai Izzat

Yaqeen Ata Nahi Dil Ko K Aisa Ho Bhi Sakta Hai

Yaqeen Ata Nahi Dil Ko K Aisa Ho Bhi Sakta Hai
Mera Hal-E-Gham Sun Kar Wo Zalim Ro Bhi Sakta Hai

Kabhi Insan Akela Ho K Bhi Tanha Nahi Hota
Sar-E-Mehfil Kabhi Bethy Bithaye Kho Bhi Sakta Hai

Ta'ajjub Kiun Hai Tum Ko Meri Be-Gunahi Par
Karam Ka Aik Qatra Dagh-E-Daman Dho Bhi Sakta Hai

Kabhi Insan Ko Neend Ati Nahi Phoolon K Bistar Par
Kabhi Pathar Pe Sar Rakh Kar Mazy Se So Bhi Sakta Hai

Wo Kehta Hai Tumhari Khatir Sitary Tor Launga
Ba-Zahir Yoon Nahi Hota Magar Yoon Ho Bhi Sakta Hai...

Blogger: Waqas Ali

Roshni Ki Dhaar Par Rakhi Kahani Aur Dukh

Roshni Ki Dhaar Par Rakhi Kahani Aur Dukh
Aankh Se Behta Hua Khamosh Pani Aur Dukh

Mere Kamray Main Usi Tarteeb Se Rakhe Hue Phool
Khat, Waday, Dilasay, Ek Jawani Aur Dukh

Ek Dusre Se Bichar Kar Umar Bhar Rote Rahe
Raat, Sehra, Khushk Pattay, Ek Raani Aur Dukh

Ab Mere Lafzon Main Wo Pehli Si Kaifiyat Nahi
Daal Ab Jholi Main Teri Maherbani, Aur Dukh

Raat Sehra Main Kisi Ne Baansuri Ki Nok Par
Rakh Di Phir Roti Hui Yaadein Purani Aur Dukh...

Blogger: Waqas Ali

Sep 27, 2017

Har Roz Bhula Dete Ho Kamal Karte Ho

Har Roz Bhula Dete Ho Kamal Karte Ho
Hansty Ko Rula Dete Ho Kamal Karte Ho

Nahi Hai Mohabbat To Saaf Keh Do
Kiun Umeed Barha Dete Ho Kamal Karte Ho

Hum Tumhe Bhoolne Lagte Hain Jab Bhi
Aa K Pyaar Jata Dete Ho Kamal Karte Ho

Jante Bhi Ho K Ek Hi Diya Hai Mere Ghar Me
Phir Bhi Hawa Dete Ho Kamal Karte Ho

Bhoolne Ka Jo Mujhe Har Roz Kehte Ho
Yoon Yaad Dila Dete Ho Kamal Karte Ho

Khud Hi Kehte Ho K Nasha Haram Hai
Aur Jaam Bhi Thama Dete Ho Kamal Karte Ho...

Blogger: Waqas Ali

Sep 26, 2017

Jab Se Tu Amil-E-Farmooda-E-Islaf Nahi

Jab Se Tu Amil-E-Farmooda-E-Islaf Nahi
Naam Insaf Ka Baqi Hai Par Insaf Nahi

Zarb-E-Shamsheer, Baja! Nara-E-Takbeer Darust
Sab Hai! Bus Tujh Me Mujahid Se Wo Ausaf Nahi

Kya Bahana Hai Mere Qalb Ko Thukrany Ka
Kirchiyan Dekh K Kehte Hain K Shafaaf Nahi

Ya Khuda! Umat-E-Ahmed Bhi Wohi Tu Bhi Wohi
Kya Sabab Hai K Wo Pehle K Se Altaf Nahi

Aah! Ye Ishq Bhi Kesa Hai Tera Jis Me 'Shakeeb'
Ishq Ka Ain Nahi Sheen Nahi Qaaf Nahi...

Submitted By: Shakeeb Ahmad

Jab Se Tu

Sep 16, 2017

Ek Tamanna Hai Faqat Mujh Pe Meherban Raho

Ek Tamanna Hai Faqat Mujh Pe Meherban Raho
Tum Kisi Aur Ko Dekho To Bura Lagta Hai

Meri Chahat Ka Taqaza Hai Mere Sath Raho
Ghair Ka Hath Jo Thamo To Bura Lagta Hai

Arzoo Hai Tere Har Roop Ko Har Pal Dekhun
Tum Mere Pas Se Utho To Bura Lagta Hai

Roz-O-Shab Aj Bhi Parwah Hai Tumhari Mujh Ko
Tum Kisi Aur Ko Socho To Bura Lagta Hai

Rooh Meri Tarasti Hai Tumhari Khushbu Ko
Tum Kahin Aur Ja K Mehko To Bura Lagta Hai...

Submitted By: Bilal Ahmed

Sep 14, 2017

Kabhi Khamosh Betho Ge Kabhi Kuch Gungunao

Kabhi Khamosh Betho Ge Kabhi Kuch Gungunao Ge
Main Utna Yad Aunga Mujhe Jitna Bhulao Ge

Koi Jab Pooch Bethe Ga Khamoshi Ki Waja Tum Se
Bohat Samjhana Chaho Ge Magar Samjha Na Pao Ge

Kabhi Duniya Mukammal Ban K Aegi Nigahon Me
Kabhi Meri Kami Duniya Ki Har Shay Me Pao Ge

Kahin Par Bhi Rahen Hum Tum Mohabbat Phir Mohabbat Hai
Tumhe Hum Yaad Aenge Humain Tum Yaad Ao Ge...

Submitted By: Asad Junaid Sagar

Aug 20, 2017

Raat Bhar Khawab Bohat Ajeeb Dekhta Hun

Raat Bhar Khawab Bohat Ajeeb Dekhta Hun
Mera Naseeb K Tujh Ko Qareeb Dekhta Hun
Mujh Ko Chor Beech Bhanwar Pardais Jane Wale
Bin Tere Khud Ko Behad Ghareeb Dekhta Hun
Barhaye Hain Tu Ne Logon Se Jo Mail-O-Marasam
Har Dusre Shakhs Ko Apna Raqeeb Dekhta Hun
Taskheer Kar Rakha Hai Jo Chaah Ne Mujh Ko
Pagal Ho Gaya Hun Khud Ko Shareef Dekhta Hun
Badla Hai Jo Yoon Sanam Ne Andaaz-E-Bayan
Soya Hua Main Apna Naseeb Dekhta Hun
Jab Se Khola Hai Raaz Apni Ulfat Ka Paaris
Zamany Ko Khamkha Apna Hareef Dekhta Hun...

Submitted By: Paaris Sohail

Raat Bhar Khawab

Aug 5, 2017

Na Dabi Dabi Si Mohabbaten

Na Dabi Dabi Si Mohabbaten
Na Dhaki Chupi Ab Adawaten
Na Dikhawy Ki Ab Muskurahaten
Na Rog-E-Jaan, Ye Qabahaten
Main Thak Gaya Hun Jhoot Se
Mujhe Chahiye Ab Sach Yahan
Gar! Ranjishen To Ranjishen
Gar! Chahaten To Chahaten...!

Submitted By: Mobeen Naseer

Na Dabi Dabi

Aug 1, 2017

Ye Jo Zindagi Ki Kitab Hai

Ye Jo Zindagi Ki Kitab Hai
Ye Kitab Bhi Kya Kitab Hai
Kahin Ek Haseen Khawab Hai
Kahin Jaan-Leva Azab Hai
Kabhi Kho Lia, Kabhi Paa Lia
Kabhi Ro Lia, Kabhi Gaa Lia
Kahin Rehmaton Ki Hain Barishen
Kahin Tishnagi Be-Hisaab Hai
Kahin Chaon Hai, Kahin Dhoop Hai
Kahin Aur Hi Koi Roop Hai
Kahin Cheen Leti Hai Har Khushi
Kahin Meherban Be-Hisab Hai
Ye Jo Zindagi Ki Kitab Hai
Ye Kitab Bhi Kya Kitab Hai...

Submitted By: Mobeen Naseer

Ye Jo Zindagi