Showing posts with label Ghazal Shayari. Show all posts
Showing posts with label Ghazal Shayari. Show all posts

Dec 7, 2018

Phir Kisi Yaad Ne, Raat Bhar Hai Jagaya Mujh Ko

Phir Kisi Yaad Ne, Raat Bhar Hai Jagaya Mujh Ko

Phir kisi yaad ne, raat bhar hai jagaya mujh ko
Kiya saza di hai, mohabat ne khudaya mujh ko
Din ko aaram hai na, raat ko hai chain kabhi
Jane kis khaak se, qudrat ne banaya mujh ko
Dukh to yeh hai ke, zamane main milay ghair sabhi
Jo mila hai, woh mila ban ke, paraya mujh ko
Jab koi bhi na raha kandha, mere rone ko
Ghar ki deewaron ne, seene se lagaya mujh ko
Uoon to umeed-e-wafa, tum se nahi hai koi
Phir charaghon ki tarah, kis ne jalaya mujh ko

Nov 7, 2018

Chalo Hum Paas Rakh Laite Hain

Chalo Hum Paas Rakh Laite Hain

Chalo hum paas rakh laite hain
Teri batain teri yaadain
Mohabbat tere sadqe main yehi hain soogatain
Hansain ge dil se mil ke gale dil ko lagain ge
Tujhe hum yaad kerlain ge
Tujhe hum bhool jain ge
Chalo munzil se pehle, hum raasta moord dete hain
Ke jin ko dil main rakhte hain wohi dil toord daite hain

Nov 1, 2018

Usey Keh Do Wo Mera Hai

Usey Keh Do Wo Mera Hai

Usey keh do wo mera hai begana ho nahi sakta ,
Bohat nayab hai, us jaisa koi ho nahi sakta...

Us ke sath jo guzra wo mousam yaad aata hai,
Us ke baad koi mousam suhana ho nahi sakta...

Chupane se nahi chupta, dikhane se nahi dikhta ,
Ye atish-e-ishq hai is mein bahana ho nahi sakta...

Wo dil pe naqsh ho jaye, nigahon mein sama jaye, 
Ke is dil mein kisi ka phir se aana ho nahi sakta....

Bohat hain chahne wale us ke hum ne suna hai, par 
Koi bhi doosra hum sa deewana ho nahi sakta…

Oct 28, 2018

Woh Pani Ki Lehron Pe Kiya Likh Raha Tha

Woh Pani Ki Lehron Pe Kiya Likh Raha Tha

Woh pani ki lehron pe kiya likh raha tha
Khuda jane herf-e-dua likh raha tha
Likha tha wafa ka mani adhoora
Woh shaksh piyar ki inteha likh raha tha
Zara is ki aankh se aanso na nikle
Woh jis waqt lafz saza likh raha tha
Mohabbat main nafrut mili thi isay bhi
Woh her shakhs ko be wafa likh raha tha

Oct 17, 2018

Ab Tu Kuch Aur Andaaz Se Lubhane Lagay

Ab Tu Kuch Aur Andaaz Se Lubhane Lagay

Ab tu kuch aur andaaz se lubhane lagay
Qissa-e-dard jo phir se sunanay lagay
Jub mehsoos kiya khud ko tanhai main
Kitne ayeenay mera saath nibhane lagay
Is ke andaz-e-mohabbat ki tareef keron
Pehlay loota phir loot ke basane lagay
Meray aansuon ko mooti kehne wala
Woh jo bichra tu ye mooti bhi ganwane lagay
Ye taghaful faqat mujhko satane ke liyay
Ke bazm-e-ghair main bhi ab to hain jane lagay
Lafzoon ki haqeeqat jub khuli Mohsin
Saray alfaaz tera qissa sunanay lagay

Submitted By: Mohsin Shehzad Mohsin

Oct 10, 2018

Tum Se Bohaut Kuch Kahna Hai Mager

Tum Se Bohaut Kuch Kahna Hai Mager

Tum se bohaut kuch kahna hai mager
Kabhi tum nahi milte kabhi alfaz nahi milte
Ek nai dunya basana chahte hai mager
Kabhi nened nahi ati kabhi khwab nahi milte
yeh duria to mitadon main ek peal main mager
Kabhi qadam nahi chalte to kabhi raste nahi milte


Oct 1, 2018

Kisi Ko Tum Galay Se Jub Lagao Tu

Kisi Ko Tum Galay Se Jub Lagao Tu

Chalo mana!
Kisi sa-at, kisi lamhe
Kisi din ya kisi shub main,
Ya hufte main, maheenay main
Tumhain fursat nahi, socho mujhay...
Lakin koi tehwaar ayee tu,
Kisi ko tum galay se jub lagao tu,
Mujhay bhi yaad kerlaina...

Sep 26, 2018

Jitni Duaen Aati Then

Jitni Duaen Aati Then

Jitni duaen aati then
Sub mang lin hum ne
Jitne wazify yad thy sare
Ker bathy hain
Kaeyi tarha se je dekha hai
kaeyi tarha se merr batthy hain
Lakin jana
Kise bhi soorat 
Tum mere ho ker nahi dete

Sep 5, 2018

Us Ne Dil Ka Haal Btana Chord Dia

Us Ne Dil Ka Haal Btana Chord Dia

Us ne dil ka haal btana chord dia 
Hum ne bhi ghrai main jana chord dia

Jub us ko hi doori ka ahsas nahi
Hum ne bhi ahsas dilana chord dia

Main ne kaha raste hain dushwar bohaut
Us ne tab se saath nebhana chord dia

Jub yeh kaha ke karna yad duaon main
Us ne dua main hath uthana chord dia

Aug 16, 2018

Kabhi Youn Bhi A Mere Rubaru

Kabhi Youn Bhi A Mere Rubaru

Kabhi youn bhi a mere rubaru
Tujhy pass pa ke main ro paru
Mujhy manzil-e- ishq pe ho yaqeen
Tujhy dharkano main suna karon
Kabhi sajalu tujh ko ankhon main
Kabhi choom loun tere hanton ko
Kabhi tere dil main basa karon
Kabhi youn bhi a mere rubaru
Tujhy pass pa ke main ro paru