Showing posts with label Inspirational poetry. Show all posts
Showing posts with label Inspirational poetry. Show all posts

Feb 14, 2013

Mere Pukhta Iradey Khud Meri Taqdeer Badlain Ge

Mere Pukhta Iradey Khud Meri Taqdeer Badlain Ge,
Meri Qismat Mohtaj Nahi Haathon Ki Lakeeron Ki…

Taqdeer Shayari
Shared by: Bakhsh

Jan 31, 2013

Emaan Mujhe Rooke Hai Jo Kheenche Hai Mujhe Kufar - Mirza Ghalib

Emaan Mujhe Rooke Hai Jo Kheenche Hai Mujhe Kufar,
Kaaba Mere Peeche Hai, Kaleesa Mere Aage….!

Mirza Ghalib

Jan 28, 2013

Wafa Hai Riyasat Apni, Phir Bhi Ham Ghareeb Thehrey

Wafa Hai Riyasat Apni, Phir Bhi Ham Ghareeb Thehrey,
Bewafai Ka Taaj Pehne, Kitne Ham Ne Nawab Dekhe…

Bewafa

Jan 26, 2013

Charhte Sooraj Dhalde Wekhe, Bujhe Deewe Balde Wekhe - Bullhe Shah

Charhte Sooraj Dhalde Wekhe, Bujhe Deewe Balde Wekhe,
Heeray Da Koi Mul Na Taare, Khote Sikky Chalde Wekhe,

Jinnan Da Na Jag Te Koi, Oovi Puttar Palde Wekhe,
Aohdi Rehmat Dey Naal Bande, Pani Uttey Chalde Wekhe

Loki Kehnde Dal Ni Galdi, Mein Te Pathar Galde Wekhe
Jinha Qadar Na Ketti Yaar Di ‘Bulhiya’ Hath Khali Oo Malde Wekhe

Baba Bullhe Shah

Jan 19, 2013

Manzil To Yehi Thi Bas - Inspirational Poetry

Manzil To Yehi Thi…. (Qabar) Bas,
Zindagi Guzar Gai Yahan Tak Aate Aate…

Sach

Jan 17, 2013

Mat Kia Kar Itne Gunah Toba Ki Aas Part Aye Ibn-e-Adam

Mat Kia Kar Itne Gunah Toba Ki Aas Part Aye Ibn-e-Adam,
Be_Aitbar Si Zindagi Hai, Jane Kab Maut Aa Jaye….

Maut Adam

Jan 4, 2013

Meri Ghurbat Urati Hai Mere Fan Ka Yun Mazaq

Meri Ghurbat Urati Hai Mere Fan Ka Yun Mazaq,
Teri Dolat Ne Tere Aiab Chupa Rakhe Hain…!!

faqeer naik

Mita De Apni Hasti Ko Ager Kuch Martaba Chaiye - Inspirational

“Mita De Apni Hasti Ko Ager Kuch Martaba Chaiye,
Ke Dana Khak Mein Mil Kar Gul-e-Guraz Banta Hai…”

“Muqaddar Jin Ke Unche Aur Aala Bakht Hote Hain,
Zindagi Mein Unhi Ke Imtehan Bhi Sakht Hote Hain….”

Inspirational Poetry

Jan 3, 2013

Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai - New Year Ghazal

Wo Jo Haal Tha Wohi Haal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai
Wohi Zindagi Ke Wabaal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai

Wohi Be Yaqeeni Hai Ku-Ba-Ku, Wohi Na Umeedi Hai Char Su,   
Jo Bhi Hai Sarapa Sawal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai

Wohi Dast-O-Paa Wohi Chashm-o-lab Jo Gehan Mein The, Wo Gehan Mein Hain
Wohi Husn Jis Pe Zawaal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai

Wohi Inteshaar Ki Zindagi Hai, Wohi Ghubar Si Zindagi Hai,
Wohi Saans Lena Mohaal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai

Wohi Phool Phool Pe Titliyan Hain, Dari Hui Ke Mari Hui
Wohi Be Hisi Jo Kamal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai

Wohi Khuwab Hain Ke Azaab Hain, Wohi Rooz-O-Shab Ke Sarab Hain,
Wohi Gardish-E-Meh-O-Saal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai

New Year Sad 2013

Jan 1, 2013

Mein Kahin Bhook Se Na Mar Jaon - Inspirational Poetry

Mein Kahin Bhook Se Na Mar Jaon Aye Ameer-e-Shehar,
Gar Mustaqbil Hun Tumhara, To Bacha Lo Mujh Ko…!!

mustaqbil