Showing posts with label Mehboob Shayari. Show all posts
Showing posts with label Mehboob Shayari. Show all posts

Jun 23, 2012

Peetay The Jis Ke Saath Woh Saaqi Bara Haseen Tha

Peetay The Jis Ke Saath Woh Saaqi Bara Haseen Tha - 2 line poetry

Peetay The Jis Ke Saath Woh Saaqi Bara Haseen Tha,,,
Aadi Bana Ke Zalim Ne Ma'eKhana Badal Liyaa....!!


Jun 16, 2012

Zikr-e-Shab-e-Firaaq se Vahashat usay bhi thi - Mohsin Naqvi Poetry


Zikr-e-Shab-e-Firaaq se Wehshat usay bhi thi,
Meri tarha kisi se Muhabbat usay bhi thi..

(zikr-e-shab-e-firaaq = mention of the night of separation)
(Wehshat = fear/dread)

Mujh ko bhi shauq tha naye cheharon ki deed ka,
Rastaa badal ke chalane ki aadat use bhi thi...

Us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftagu,
Masruf main bhi kam tha faraagat use bhi thi...

(mahv-e-guftaguu = immersed in conversation)
(masruuf = busy; faraaGat = leisure/freedom from business)

Sunata tha vo bhi sab se puraani kahaaniyaan,
Taaza rafaaqaton ki zarurat use bhi thi...

(rafaaqat = friendship)

Mujh se bichar ke shahar me ghul mil gayaa wo shakhs,
Haalanke shahar bhar se raqabat use bhi thi...

(Haalanke = although; raqabat = enmity)

Wo mujh se barh ke zabt ka aadi tha jee gaya,
Warna har ek saans qayaamat use bhi thi...

(zabt = tolerance/restraint; aadii = habituated)


by: Mohsin Naqvi