Showing posts with label Parveen Shakir. Show all posts
Showing posts with label Parveen Shakir. Show all posts

Nov 26, 2012

Tarash Kar Mere Bazoo Uraan Chor Gaya - Parveen Shakir

Tarash Kar Mere Bazoo Uraan Chor Gaya
Hawa Ke Paas Barhana Kaman Chor Gaya
Bazoo: Shoulders; Uraan: Flight; Barhana: Naked; Kaman: Bow;
Rafaqton Ka Meri Us Ko Dehaan Kitna Tha
Zameen Ley Li Magaer Aasmaan Chor Gaya
Rafaqton: Companionship;
Ajeeb Shakhs Tha, Barish Ka Rang Dekh Ke Bhi
Khule Dareeche Pe Ik Phool_Dan Chorr Gaya
Dareeche: Window; Phool_Dan: Flower Pot;
Jo Badloon Se Bhi Mujh Ko Chupaye Rakhta Tha
Barhi Hai Dhoop To Be_Saibaan Chor Gaya
Be_Saibaan: Roofless
Nikal Gaya Kahin An_Dekhe Paniyon Ki Taraf
Zameen Ke Naam Khula Badbaan Chor Gaya
An_Dekha: Unseen; Badbaan: Sail
Uqaab Ko Thi Gharz Fakhta Pakarne Se
Jo Gir Gai To Yunhi Neem Jaan Chor Gaya
Uqaab: Eagle; Gharz: Purpose; Fakhta: Fakhta: Ringdove; Neem Jaan: Half-Life
Najane Kon Sa Aasaib Dil Mein Basta Hai
Ke Jo Bhi Thera Wo Aakhir Makaan Chor Gaya
Aasaib: Haunted;
Aqab Me Gehra Samandar Hai, Saamne Jangal
Kis Inteha Pe Mera Meharban Chor Gaya….
Aqab: Behind; Jangal: Forest; Meharban: Compassionate;
Parveen Shakir Poetry
By: Parveen Shakir
Shared by: Qadeer

Nov 9, 2012

Mohabbat Cheez Aisi Hai - Parveen Shakir

Mohabbat Cheez Aisi Hai

Mohabbat Cheez Aisi Hai

Mohabbat Cheez Aisi Hai,

Kabhi Hoti Hai Apnon Se,
Kabhi Anjaan Rahoon Sy
Kabhi Gumnaam Rahon Sy

Mohabbat Cheez Aisi Hai

Kabhi Hoti Hai Phoolon Sy
Kabhi Bachpan Ky Jhoolon Sy
Kabhi Be-Ikhtiyaari Mein
Kabhi Pakke Usoolon Sy

Mohabbat Cheez Aisi Hai

Mohabbat Bas Mohabbat Hai
Mohabbat Ik Sadaqat Hai

Mohabbat Cheez Hi Aisi Hai

Dukhon Mein Rool Deti Hai
Dard Anmool Deti Hai
Zehar Bhi Ghool Deti Hai

Mohabbat Cheez Aisi Hai

For Someone Very Special…..!


Oct 10, 2012

Chirya Poori bheeg Chuki Hai

Mausam-Parveen-Shakir

Parveen Shakir

Chirya Poori bheeg Chuki Hai
Aur Darakht Bhi Patta Patta Tapak Raha Hai
Ghonsla Kab Ka Bikhar Chuka Hai
Chirya Phir Bhi Chehak Rahi Hai
Ang Ang Se Bool Rahi Hai
Is Mausam Me Bheegte Rehna Kitna Acha Lagta Hai..!

Oct 8, 2012

Wo Jab Se Shehr Kharabaat Ko Rawana Hua

Wo-Jab-Se-Parveen

Parveen Shakir Ghazal

Wo Jab Se Shehr Kharabaat Ko Rawana Hua
Barah-E-Raast Mulaqaat Ko Zamana Hua
Kharabaat: Clubs; Rawana: Departed; Barah-e-Raast: Direct; Mulaqaat: Meeting; Zamana
Wo Shehr Chorr Ke Jana To Kab Se Chahta Tha
Ye Nokri Ka Bulawa To Ik Bahana Hua
Nokri: Job; Bahana: Excuse;
Khuda Kare Teri Aankhein Hamesha Hansti Rahein
Ye Aankhein Jin Ko Kabhi Dukh Ka Hosla Na Hua
Hansti: Smile; Dukh: Grief; Hosla: Courage; 
Kinara-E-Sehan Chaman Sabz Bail Ke Niche
Wo Rooz Subha Ka Milna To Ab Afsana Hua
Kinara: Edge; Sehan: Courtyard; Bail: Vine; Afsana: Story;
Mein Soochti Hun Ke Mujh Me Kami Thi Kis Shey Ki?
Ke Sab Ka Ho Ke Raha Wo Bas Ik Mera Na Hua
Shey: Thing;
Kise Bulati Hain Aangan Ki Champai Shamein
Ke Wo Ab Apne Naye Ghar Mein Bhi Purana Hua
Aangan: Courtyard; Purana: Old;
Dhanak Ke Rang Mein Sari To Rang Li Mein Ne
Aur Ab Ye Dukh Ke Pehan Kar Kise Dikhana Hua
Dhanak: Rainbow; Sari: Sari;
Mein Apne Kaanon Mein Pehley Ke Phool Kion Pehnoon
Zaban-E-Rang Se Kis Ko Mujhe Bulana Hua
kaanon: Ears; Pehley: Before; Phool: Flowers; Bulana: Called;

Oct 6, 2012

Wo Ja Chuka Hai - Parveen Shakir Poetry

Parveen-Shakir-Alwida

Parveen Shakir Alvidiya

Wo Ja Chuka Hai,
Magar Judai Se Qabal Ka
Ik Narm Lamha
Thehar Gaya Hai
Meri Hatheli Ki Pusht Par
Zindagi Mein
Pehli Ka Chand Ban Kar..!

Sep 22, 2012

Dasht-E-Shab Par Dikhai Kia Deingi - Parveen Shakir

Parveen-Shakir-Ghazal

Parveen Shakir Ghazal

Dasht-E-Shab Par Dikhai Kia Deingi
Silvatein Roshni Mein Ubhrain Gi
Silvatein = Foldings; Ubrain = Rise;
Ghar Ki Deewarein Mere Jane Par
Apni Tanhaiyon Ko Sochein Gi
Tanhaiyon = Loneliness
Ungliyon Ko Tarash Don Phir Bhi
Aadtein Uska Naam Likhein Gi
Tarash = Truncate
Rang-O-Bu Se Kahin Panah Nahi
Khwahishein Bhi Kahan Aman Dengi
Rang-o-Bu = Color and Odor;
Aik Khushbu Se Bach Bhi Jaon Ager
Doosri Nikhatein Jakar Leingi
Jakar = Hold
Khirkhiyon Par Dabeiz Parde Hon
Barishein Phir Bhi Dastakein Deingi
Dabeiz = Thick; Parde = Curtains; Dastak = Knock

Sep 11, 2012

Bichra Hai Jo Ik Baar To Milte Nahi Dekha - Ghazal

Bichra-Parveen-Shakir

Parveen Shakir Ghazal

Bichra Hai Jo Ik Baar To Milte Nahi Dekha
Is Zakham Ko Ham Ne Kabhi Silte Nahi Dekha
Zakham = Wound
Ik Baar Jise Chaat Gai Dhoop Ki Khuahish
Phir Shakh Pe Is Phool Ko Khilte Nahi Dekha
Chaat = Eat up; Khuahish = Desire; Khilte = Bloom;
Yak_Lakht Gira Hai To Jarain Tak Nikal Aain
Jis Peir Ko Aandhi Mein Bhi Hilte Nahi Dekha
Yak_Lakht = All of a Sudden; Gira = Fell; Jarain = Roots; Peir = Tree;
Aandhi = Dust Storm;
 
Kanton Me Ghire Phool Ko Choom Aaye Gi Lekin
Titli Ko Paron Ko Kabhi Chilte Nahi Dekha
Kanton = Thorns; Choom = Kiss; Titli = Butterfly;
Kis Tarah Meri Rooh Ko Hari Kar Gaya Aakhir
Wo Zehar Jise Jism Me Khilte Nahi Dekha
Rooh = Soul; Aakhir = Finally; Jism = Body; Zehar = Poison;

Badban Khulne Se Pehle Ka Ishara Dekhna - Parveen Shakir

Badban-Khulne-Parveen-Shakir

Parveen Shakir Poetry

Badban Khulne Se Pehle Ka Ishara Dekhna,
Mein Samandar Dekhti Hun, Tum Kinara Dekhna
Badban = Sail
Yun To Bicharna Bhi Bohat Aasaan Na Tha, Us Se Mager,
Jate Jate Us Ka Wo Mur Kar Dobara Dekhna

Kis Shabahat Ko Liye Aaya Hai Darwaze Pe Chand 
Aye Shab-e-Hijran Dara Apna Sitara Dekhna
Shabahat = Doubts

Aaine Ki Aankh Hi Kuch Kam Na Thi Mere Liye
Jane Ab Kia Kia Dikhaye Ga Tumhara Dekhna

Sep 5, 2012

Ye Barish Khoobsorat Hai - Parveen Shakir Barish Shayari

Parveen-Shakir-Barish_Shayari

Parveen Shakir - Barish Poetry

Ye Barish Khoobsorat Hai,
Ik Arsy Baad,
Meri Rooh Mein
Seraab Hone Ki Tamanna Jag Uthi,
Mager Badal Ke Raste Mein
Bohat Pair Aate Hain,
Mein Pal Bhar Ke Liye Sadaab Hoon,
Aur Apni Baqi Umer,
Phir Sehraon Mein Katoon?
Mein Apni Piyaas Par Razi Rahon Gi,
Mere Aansu Meri Kafalat Ke Liye Kafi Rahein Ge…

Koi Raat Mere Aashna - Parveen Shakir Romantic Poetry

Koi-Raat-Parveen-Shakir

Perveen Shakir Romantic Poetry

Koi Raat Mere Aashna, Mujhe Yun Bhi To Naseeb Ho
Na Rahe Khayal Libaas Ka, Wo Itna Mere Qareeb Ho
Aashna = Familiar;
Badan Ki Garm Aanch Se Meri Aarzu Ko Aag De
Mera Josh Behak Uthey, Mera Haal Bhi Ajeeb Ho
Badan = Body; Aanch = Flame; Josh = Enthusiasm; Behak = Strayed
Tere Chashni Wajood Ka Sara Ras Mein Chura Loon
Phir Tu Hi Mera Marz Ho, Aur Tu Hi Mera Tabeeb Ho
Chashni = Syrup; Wajood = Existence; Rus = Juice; Marz = Disease; Tabeeb = Practitioner

Jul 20, 2012

Apni Ruswai Tere Naam Ka Charcha Dekhon - Parveen Shakir

Apni Ruswai Parveen Shakir

"Apni Ruswai" in Roman Urdu

Apni ruswai aur tere naam ka charcha dekhon
Ek zara Shair kahon aur mein kia kia dekhon..

Neend aa jaye to kia mehfilain barpa dekhon,
Aankh khul jaye to tanhai ka Sehra dekhon,

Shaam bhi ho gai, dhundla gain aankhain bhi meri,
Bhoolne wale, mein kab tak tera rasta dekhon...?

Sab zidain is ki mein poori karon, har baat sunon,
Aik bache ki tarha use hansta dekhon....

Mujh pe chah jaye jo barsat ki khushbu ki tarha,
Ang ang apna usi rut me mehakta dekhon...

To meri tarha se yakta hai mager mere habeeb,
Jee mein aata hai koi aur bhi tujh sa dekhon...

Mein ne jis lamhe koi pooja hai usy bas ek baar,
Khwab ban kar teri aankhon me utarna dekhon...

Tu mera khuch nahi lagta hai, magar jaan-e-Hayat,
Jane kion tere liye dil ko dharakta dekhon..

"Apni Ruswai" in Urdu

اپنی رسوائی اور تیرے نام کا چرچا دیکھوں
اک ذرا شعر کہوں اور میں کیا کیا دکھوں

نیند آ جائے تو کیا محفلیں برپا دکھوں
آنکھ کھل جائے تو تنہائی کا صحرا دکھوں

شام بھی ہو گئی، دھندلا گئیں آنکھیں بھی میری
بھولنے والے، میں کب تک تیرا راستہ دکھوں؟

سب ضدیں اس کی میں پوری کروں، ہر بات سنوں
ایک بچے کی تارہا اسے ہنستا دکھوں

مجھ پی چھا جائے جو برسان کی خوشبو کی طرح
انگ انگ اپنا اسی رت میں مہکتا دکھوں

تو میری طرح سے یکتا ہے مگر میرے حبیب
جی میں آتا ہے کوئی اور تجھ سا دیکھوں 

میں نے جس لمحو کو پوجا ہے اسے اک بار
خواب بن کر تیری آنکھوں میں اترتا دکھوں 

تو میرا کچھ نہیں لگتا ہے، مگر جانِ حیات
جانے کیوں تیرے لئے دل کو دھڑکتا دکھوں


Jul 9, 2012

Uljhan by Parveen Shakir - Raat abhi Tanhai ki Pehli Dehleez pe Hai

Uljhan-Raat abhi Tanhai ki Pehli Dehleez pe Hai - Parveen Shakir Poetry

Urdu poetry - Parveen Shakir poetry

*Uljhan*

Raat abhi Tanhai ki Pehli Dehleez pe Hai,
Aur meri Janib apne Haath barhati Hai,
Soch Rahi Hoon!
Un ko Thamoon,
Zeena Zeena Sannaton Ke Teh-Khaanon Me Utron,
Ya Apne Kamre Me Thehroon
Chaand meri Khirki pe Dastak Daita Hai..!




Jun 6, 2012

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi - Parveen Shakir

kuch to hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayaal bhi

kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi, Kuch Tha Tera Khayal Bhi, 
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malaal Bhi 

(Sard=Cold; Malaal=Sorrow)

Baat Wo Aadhi Raat Ki, Raat Wo Poore Chand Ki, 
Chand Bhi Ain Chait Ka Uss Pe Tera Jamaal Bhi 

 (Chet=Name of a month; Jamaal=Beauty)

Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujh Ko Tha Aise Dekhta, 
Ek Dafa To Ruk Gai Gardish-e-Mah-o-Saal Bhi 

Dil To Chamak Sake Ga Kya, Phir Bhi Taraash Ke Dekh Lo 
ShishaaGaran-e-shahar Ke Hath Ka Ye Kamaal Bhi 

(Taraash=Polish; ShishaaGaran=Glazier)

Us Ko Na Pa Sake The Jab Dil Ka Ajib Haal Tha,
Ab Jo Palat Ke Dekhiye Baat Thi Kuch Muhaal Bhi 

(Muhaal=Difficulty)

Meri Talab Tha Ek Shakhs Wo Jo Nahin Mila To Phir, 
Haath Dua Se Yun Gira Bhool Gaya Sawaal Bhi 

(Talab=Quest)

Shaam Ki Nasamajh Hawa Pooch Rahi Hai Ek Pata 
Mauj-e-Hawa-e-Ku-e-Yaar Kuch To Mera Khayaal Bhi 

(Nasamajh=Naive)

Us Ke Hi Bazoun Main Aur Us Ko Hi Sochte Rahe 
Jism Ki Khwahishon Pe The Ruh Ke Aur Jaal Bhi...





May 28, 2012

Barish hui to phulon ke tan chak ho gaye - Parveen Shakir



Barish hui to phulon ke tan chak ho gaye
mausam ke hath bhig ke saffak ho gaye

baadal ko kya khabar ke barish ki chah main
kitne buland-o-bala shajar khaak ho gaye

jugnu ko din ke waqt pakarne ki zid karen
bache hamare ahad ke chalak ho gaye

lahra rahi hai barf ki chadar hata ke ghas
suraj ki shah pe tinak bhi bebak ho gaye

suraj dimag log bhi iblag-e-fikr main
zulf-e-shab-e-firaq ke pechak ho gaye

jab bhi garib-e-shahar se kuch guftagu hui
lahaje hawa-e-sham ke namnak ho gaye

sahil pe jitne aab_guzida the sab ke sab
dariya ke rukh badalte hi tairak ho gaye

By: Parveen Shakir

(Chaak = Torn ; Saffak = Cruel) (ahad = times) ( aab_guzida = scared of water ; Tairak = swimmers)