Showing posts with label husn poetry. Show all posts
Showing posts with label husn poetry. Show all posts

Sep 12, 2014

Kya Husn-E-Itifaq Hai Unki Gali Me Hum

Kya Husn-E-Itifaq Hai Unki Gali Me Hum

Ek Kam Se Gaye The Hr Kam Se Gaye...

Kya Husn-E-Itifaq

Aug 17, 2014

Kya Husn Tha K Aankh Se Dekha Hazaar

Kya Husn Tha K Aankh Se Dekha Hazaar Baar

Phir Bhi Nazar Ko Hasrat-E-Deedaar Reh Gai...

Kya Husn Tha K

Aug 7, 2014

Us Husn-E-Be-Misaal Ko Dekha Na Aaj

Us Husn-E-Be-Misaal Ko Dekha Na Aaj Tak

Jis K Tassawuraat Ne Jeena Sikha Dia...

Us Husn-E-Be-Misaal

Jul 24, 2014

Na Kar Aye Baghbaan Shikwa Gulaabon Ki Be-Nayazi

Na Kar Aye Baghbaan Shikwa Gulaabon Ki Be-Nayazi Par

Haseen Jo Bhi Hote Hain Zara Maghroor Hote Hain...

Na Kar Aye Baghbaan

Feb 19, 2014

Hum Haseen Hone Ka Dawa Tu Nahi Karte

Hum Haseen Hone Ka Dawa Tu Nahi Karte Wasi Magr

Jise Aankh Bhar Kar Dekh Len Uljhan Me Dal Dete Hain...

Hum Haseen Hone

Oct 20, 2013

Us Husn K Sache Mouti Ko, Hum Dekh Saken

Us Husn K Sache Mouti Ko, Hum Dekh Saken Pr Choo Na Saken,
Jise Dekh Saken Pr Choo Na Saken, Wo Daulat Kya Wo Khazana Kya...

Us Husn K Sache Mouti Ko

Sep 13, 2013

Husan-e-Mujassam Ho Ya Saanwali Si Soorat

Husan-e-Mujassam Ho Ya Saanwali Si Soorat,
Ishq Agar Rooh Se Ho To Hr Roop Ba-Kamaal Dikhta Hai...

Husn-e-Mujassam ho ya saanwli si surat

Jul 18, 2013

Husn Walon Ko Kiya Zaroorat Hai Sanwarne Ki

Husn Walon Ko Kiya Zaroorat Hai Sanwarne Ki 'Fidha',
Woh To Saadgi Me Bhi Qiyamat Ki Ada Rakhte Hain....!

By: Fidha Qureshi

Jun 23, 2012

Peetay The Jis Ke Saath Woh Saaqi Bara Haseen Tha

Peetay The Jis Ke Saath Woh Saaqi Bara Haseen Tha - 2 line poetry

Peetay The Jis Ke Saath Woh Saaqi Bara Haseen Tha,,,
Aadi Bana Ke Zalim Ne Ma'eKhana Badal Liyaa....!!


Feb 17, 2012

Niyat e shauq bhar na jaye Kahin | Romantic Poetry


"Nasir kazmi"
Niyat-e-shauq bhar na jaye kahin,
tu bhi dil se utar na jaye kahin..

aj dekha hai tujhe der k bad,
aj ka din guzar na jaye kahin..

na mila kar udas logon se,
husn tera bikhar na jaye kahin..

arzu hai k tu yahan aye,
aur phir umr bhar na jaye kahin..

ji jalata hun aur ye sochta hun,
rayegan ye hunar na jaye kahin..

ao kuch der ro hi len 'Nasir',
phir ye dariya utar na jaye kahin..!


Tags: Nasir Kazmi Poetry, Nasir Kazmi, kuch dair ro hi lain, husn shayari, udas log, niyat e shauq, dard bhari shayari, urdu ghazal, urdu poetry, husn poetry