Apr 15, 2015

Tasawur Me Zarur Ao Magar Tairna Sekho Faraz

Tasawur Me Zarur Ao Magar Tairna Sekho Faraz
Tum Aksar Doob Jate Ho Meri Aankhon K Pani Me...

Tasawur Me Zarur

Tum Se Juda Hue To Kisi Ko Khabar Na Thi

Tum Se Juda Hue To Kisi Ko Khabar Na Thi
Mur Mur K Dekhna Humein Badnaam Kar Gaya...

Tum Se Juda Hue

Apr 14, 2015

Kal Bicharna Hai To Phir Ehad-e-Wafa Soch K

Kal Bicharna Hai To Phir Ehad-e-Wafa Soch K Baandh
Abhi Aghaaz-e-Mohabbat Hai Gaya Kuch Bhi Nahi...

Kal Bicharna Hai

Apr 13, 2015

Humen Shoq-e-Aziyat Hai Warna Is Zamanay

Humen Shoq-e-Aziyat Hai Warna Is Zamanay Me
Teri Yaaden Bhulany Ko Bohat Samaan Rakha Hai...

Humen Shoq-e-Aziyat

Taaron Ki Tarha Hum Ne

Taaron Ki Tarha Hum Ne
Ek Shaks Ko Chaaha Tha
Apno Ki Tarha Hum Ne
Ek Shaks Ko Samjha Tha
Phoolon Ki Tarha Hum Ne
Wo Shaks Qayamat Tha
Kya Us Ki Karen Baaten
Din Us K Liye Paida
Aur Us Ki Hi Thi Raaten
Kab Milta Kisi Se Tha
Hum Se Thi Mulaqaten
Rang Us Ka Shahaabi Tha
Zulfon Me Thi Mehkaaren
Aankhen Thi K Jadu Tha
Palken Thi K Talwaaren
Dushman Bhi Agar Dekhe
Sau Jaan Se Dil Haaray
Kuch Tum Se Hi Wo Milta Tha
Baaton Me Shabaahat Thi
Haan Tum Sa Hi Lagta Tha
Shokhi Me Sharaarat Me
Lagta Bhi Tumhi Sa Tha
Dastoor-e-Mohabbat Me
Wo Shaks Humen Ek Din
Apno Ki Tarha Bhoola
Taaron Ki Tarha Dooba
Phoolon Ki Tarha Toota
Phir Hath Na Aaya Wo
Hum Ne To Bohat Dhoonda
Tum Kis Liye Chonkay Ho
Kab Zikr Tumhara Hai
Kab Tum Se Taqaaza Hai
Kab Tum Se Shikaayat Hai
Ek Taaza Hiqaayat Hai
Sun Lo To Enaayat Hai
Ek Shaks Ko Chaaha Tha
Taaron Ki Tarha Hum Ne...

Taaron Ki Tarha

Apna Hi Samajhte Hain Dil-e-Jaana Tumhe

Apna Hi Samajhte Hain Dil-e-Jaana Tumhe Hum
Dushman To Kabhi Dil Me Basaye Nahi Jate...

Apna Hi Samajhte

Apr 12, 2015

Khilono Ki Jagah Dil Toot'ta Hai

Khilono Ki Jagah Dil Toot'ta Hai
K Guriya Ab Bari Hone Lagi Hai...

Submitted By: Asim

Khali Hain Dil Faqeer K Kashkol Ki Tarha

Khali Hain Dil Faqeer K Kashkol Ki Tarha
Is Sheher-e-Bewafa Se Wafa Kon Le Gaya...

Khali Hain Dil

Apr 11, 2015

Phir Yoon Hua K Rasty Yak-Jaa Na Ho Sake

Phir Yoon Hua K Rasty Yak-Jaa Na Ho Sake
Wo Bhi Anaa Parast Tha Me Bhi Anaa Parast...

Phir Yoon Hua

Kya Ehal-e-Siyasat Ne Dia Ehal-e-Watan Ko

Kya Ehal-e-Siyasat Ne Dia Ehal-e-Watan Ko
Kashkol Ko Hathon Me Liye Soch Raha Hun...

Kya Ehal-e-Siyasat