Dec 12, 2017

Tum Jo Hote To Bat Kuch Aur Thi

Tum Jo Hote To Bat Kuch Aur Thi
Ab Ki Barish To Sirf Pani Hai...

Tum Jo Hote

Dec 11, 2017

Wo Yad Aya Kuch Yun K Laut Aye Sub Silsilay

Wo Yad Aya Kuch Yun K Laut Aye Sub Silsilay
Thandi Hawa, Zard Pattay Aur December Ki Pehli Barish...

Blogger: Waqas Ali

Kab Duaaon Ka Mohtaj Hota Hai

Kab Duaaon Ka Mohtaj Hota Hai
Ishq To La-Elaaj Hota Hai

Is K Apne Asool Hote Hain
Is Ka Apna Riwaaj Hota Hai

Ishq K Ain Se Ibadat Hai
Ishq Rooh Ka Anaaj Hota Hai

Ishq Jismon Ko Sar Nahi Karta
Is Ka Zehno Pe Raaj Hota Hai

Ishq Me Shah Faqeer Hota Hai
Ishq Kanton Ka Taaj Hota Hai

Ishq Me Koi Had Nahi Hoti
Ishq Me Kal Na Aaj Hota Hai

Ishq Khud Hi Zulm Karta Hai
Ishq Khud Ehtajaaj Hota Hai...

Kab Duaaon Ka

Dec 10, 2017

Jane Kis Lehjay Me Us Ne Bola Tha

Jane Kis Lehjay Me Us Ne Bola Tha
Mene Hasna Hai Tere Marny Par...

Jane Kis Lehjay

Tum Mil Jao To Nijaat Mil Jaye

Tum Mil Jao To Nijaat Mil Jaye
Roz Jeeny Se, Roz Marny Se...

Tum Mil Jao

Dec 8, 2017

Sada Si Hai Bat Me Likhne Betha Hun

Sada Si Hai Bat Me Likhne Betha Hun
Dil K Sub Halaat Me Likhne Betha Hun

Koi Nahi Hai Sunta Phir Bhi Jane Kiun
Apne Sub Jazbaat Me Likhne Betha Hun

Sath Guzary The Jo Uski Qurbat Me
Beety Wo Lamhaat Me Likhne Betha Hun

Bheegy The Hum Dono Jis Me Jee Bhar K
Wo Mosam-E-Barsaat Me Likhne Betha Hun

Us Ne Mujhe Ko Chora Beech Do-Raahy Par
Kese Hui Maat Me Likhne Betha Hun

Lub Par Mere Aksar Jo Ata Hi Nahi
Naam Wohi Din Rat Me Likhne Betha Hun

Unki Bat Kya Likhni Lafzon Me Sodagar
Apne Hi Khayalaat Me Likhne Betha Hun...

Submitted By: Shehxad

Dec 7, 2017

Aise Khamoshiyon Me Rehti Hai Ab Wo

Aise Khamoshiyon Me Rehti Hai Ab Wo
Apne Hi Lafzon Se Thak Gai Ho Jese...

Aise Khamoshiyon Me

Kabhi Puri Nahi Hoti

Kabhi Puri Nahi Hoti
Mohabbat Wo Zarurat Hai...

Blogger: Waqas Ali

Hawas Hoti To Puri Hoti

Hawas Hoti To Puri Hoti
Ishq Tha Adhura Reh Gya...

Blogger: Waqas Ali

Tu Heery Ki Guriya Me Faqeer Ka Bacha

Tu Heery Ki Guriya Me Faqeer Ka Bacha
Tu Mujhe Chah Nahi Sakti Me Tujhe Paa Nahi Sakta...

Submitted By: Awais Bhatti