Apr 26, 2018
Bohat Dair Kerdi Tum Ney
Bohat dair kerdi tum ney meri dhardkan mehsoos kerney main
Woh dil neelam ho giya jis ko kabhi hasrat thi tumhari
Apr 25, 2018
Un Ki Na Thi Khata
Un ki na thi khata hum hi kuch ghalat samjh bethey
Wo Mohabbat se baat Karte the hum Mohabbat samjh bethey
Apr 24, 2018
Mein Zindagi Ka Sath Nibhata Chala Gaya
Mein zindagi ka sath nibhata chala gaya
Har fikar ko dhoyen mein urata chala gaya
Barbadyon ko sog manana fazool tha
Barbadyon ka jashn manata chala gaya
Jo mil gaya usi ko muqadar samaj liya
Jo kho gaya mein us ko bhulata chala gaya
Gham aur khushi mein faraq na mahsoon ho jahan
Mein dil ko us muqam pe lata chala gaya
Khayalon Mein Bhatak Jana
Khayalon mein bhatak jana, teri yaadon mein kho jana
Bohat hi mehnga para ham ko, sitam gar tera ho jana
Subscribe to:
Posts(
Atom)