May 12, 2018

Woh Jo Kahta Tha Bhala Ishq Main Kiya Rakha Hai

Woh jo kahta tha bhala ishq main kiya rakha hai
Ek heer ne usay ranjha bana rakha hai

Woh Jo Kahta Tha Bhala Ishq Main Kiya Rakha Hai


Be Waja Nahi Rota Ishq Main Koi Ghalib

Be waja nahi rota ishq main koi ghalib
Jisay khud say bardh ke chaho woh rulata zaroor hai

Be Waja Nahi Rota Ishq Main Koi Ghalib


May 11, 2018

Naseeb Achchay Na Hon To Khobsorti Ka Kiya Faida

Naseeb achchay na hon to khobsorti ka kiya faida
Dilon kay shahanshah aksar faqeer howa kartay hain

Naseeb Achchay Na Hon To Khobsorti Ka Kiya Faidha

Meri Zindagi Main Faqat

Meri zindagi main faqat do hi cheezain na mumkin rahin
Tujhay pa lainay ki tamanna ya phir tujhay bhool janay ki khuahish

Meri Zindagi Main Faqat

Na Shoq-E-Didar Ki Tulab Na Fiqer-E-Judai

Na shoq-e-didar ki tulab na fiqer-e-judai
Uff  kitnay sukoon say sotay hain jo mohabbat nahi kartay

Na Shoq-E-Didar Ki Tulab Na Fiqer-E-Judai

Mera Tu Ranjishain Sari Mitane Ka Irada Tha

Mera Tu Ranjishain Sari Mitane Ka Irada Tha
Gale Us Shakhs Ko Phir Se Lgane Ka Irada Tha

Chlo Acha Hoa Us Ne Muje Sahal Se Hi Lota Dya
Warna Mera Tu Sari Kashtyan Jilane Ka Irada Tha

Mcha Deti Hai Halchal Khaylon Main Teri Yaadain
Warna Tuje Is Dil Se Bhulane Ka Irada Tha

Bari Minnat Smjat Se Wo Mana Hai
Jise Do Char Lafzon Mai Mnane Ka Irada Tha

Agar Wera Shakhon Pe Prindon Ke Ghar No Hote Mohsin
Tu Ab Sokhe Darkhton Ko Jilane Ka Irada Tha

Mera Tu Ranjishain Sari Mitane Ka Irada Tha

May 10, 2018

Yeh Kub Kehti Hoon Tum Mere

Yeh kub kehti hoon tum mere glay ka haar ho jao
Wahin say laut jana tum jahan bezaar ho jao

Mulaqaton main waqfa es liye hona zarori hai
Key tum ek din judai key liye tayyar ho jao

Bohaut jald samajh main anay lagtay ho zamany ko
Bohaut asaan ho thoray bohaut dushwar ho jao

Blaa ki dhoop say aie hoon mera haal to dekho
Bus ab aisa karo tum saaya-e-dewar ho jao

Abhi pardhnay kay din hain likh bhi lena haal-e-dil apna
Magar likhna tabhi jub laiq-e-izhar ho jao

Yeh Kub Kehti Hoon Tum Mere

Jub Bikhray Ga Tere Rukhsar Pay

Jub bikhray ga tere rukhsar pay teri ankh ka pani
Tujhy ahsas tub ho ga mohabbat kis ko kahtay hain

JUb Bikhray Ga Tere Rukhsar Pay

Maghroor Nahi Hoon Bus Duor Ho Gya Hoon

Maghroor nahi hoon bus duor ho gya hoon
Un logon say jinhain qader nahi thi meri

Magroor Nahi Hoon


Meri Pagal Si Mohabbat

Meri pagal si mohabbat tumhe bohaut yad aye gi
Jub hansaney walay kum aur rulanay walay ziyada hongay

Meri Pagal Si Mohabbat