Aug 7, 2018

Perda Girte Hi Khatam Ho Jatay Hain

Perda Girte Hi Khatam Ho Jatay Hain

Perda girte hi khatam ho jatay hain tamashe saray
Khoob rootey hain phir auroon ko hansane walay

Maazrat Khwah Hain Ae Dil

Maazrat Khwah Hain Ae Dil

Maazrat khwah hain ae dil
Tujhay be qadroon ke hawaley ker baithay

Aug 6, 2018

Log Hum Se Pochte Hain

Log Hum Se Pochte Hain

Log hum se pochte hain tumhare ankhain hamesha surkh ku rahti hain
Hum ne hans ker keh dia hum nasha karte hain kise ki yadon ka


Kaash Teri Dunya

Kaash Teri Dunya

Kaash teri dunya mujh se mujh tk ho
Aur main tujh ko tera bhi na hone doun

Umer Beet Gai

Umer Beet Gai

Umer beet gai per ek zra si baat samajh na aie
Ho jai jin se mohabbat woh log qader kyoun nahi karte


Sard Rawaia Uijha Lehja

Sard Rawaia Uijha Lehja

Sard rawaia
Uljha lahja
Khoie ankhain
Thandy haath
Be rang chehra
Bad ikhlaqe
Dekho tum bin kiya hoon
Main

Aug 5, 2018

Shukar Kero Jo Dard Hum Sehtay Hain

Shukar Kero Jo Dard Hum Sehtay Hain

Shukar kero jo dard hum sehtay hain wo likhtay nahi
Warna kaaghazoon pe lafzoon ke jinazay uthtay

Na Janay Kis Liyay Dhundla Raha Hay

Na Janay Kis Liyay Dhundla Raha Hay

Na janay kis liyay dhundla raha hay her chehra
Ye mera aakhri dum hay ke rooshni kum hay

Is Liyay Khaas Ker Diya Giya Ishq

Is Liyay Khaas Ker Diya Giya Ishq

Is liyay khaas ker diya giya ishq
Aam logon ka kaam tha he nahi

Dukh Boolte Hain

Dukh Boolte Hain

Dukh boolte hain
Jub seenay under saans ke darya dooltay hain
Jub mausam sard hawa main
Chup si ghooltay hain
Jub aansu palkain rootay hain
Jub sub awaazain apne apne bister per soo jati hain
Tub ahista ahista kholtay hain
Dukh booltay hain