Jan 10, 2019

Tumhari Ik Nigah Se Qatal Ho Jatay Hain Loog

Tumhari Ik Nigah Se Qatal Ho Jatay Hain Loog

Tumhari ik nigah se qatal ho jatay hain loog
Ik nazar hum ko bhi daikho ke zindagi achi nahi lagti

Main Aakhir Koon Sa Mausam Tumhare Naam


Main aakhir koon sa mausam tumhare naam ker daita
Yahan her aik mausam ko guzarne ki jaldi thi

Jan 9, 2019

Woh Kaise Loog Thay Ya Rub

Woh Kaise Loog Thay Ya Rub Jinhone Paa  Liya Tujhko

Woh kaise loog thay ya Rub jinhone paa  liya tujhko
Humain to ho giya dushwaar ik insaan ka milna

Qabool-E-Jurm Kerte Hain Sujde Main Gir Ker

Qabool-E-Jurm Kerte Hain Sujde Main Gir Ker

Qabool-e-jurm kerte hain sujde main gir ker
Saza-e-maut manzoor hay per mohabbat ab nahi kerni

Bus Aik Aansu Bohat Hay Mohsin Ke Jagne Ko

Bus Aik Aansu Bohat Hay Mohsin Ke Jagne Ko

Bus aik aansu bohat hay Mohsin ke jagne ko
Ye ik sitara koi bujhaye tu neend aye


Hijar Ka Taara Doob Chala Hai

Hijar ka taara doob chala hai dhalne lagi hai raat wasi

Hijar ka taara doob chala hai dhalne lagi hai raat wasi
Qatra qatra baras rahi hai ashkon ki barsaat wasi

Tere bad ye duniya wale mujh ko pagal kar den gay
Khushbo k dais men mujh ko le chal apne sath wasi

Yun hi chup ki mohar laga kar kb tak ghum sum betho gay
Khamoshi se dam ghut_ta hai cherro koi bat wasi

Aj to us ka chehra bhi kuch badla badla lagta hai
Mosam badla, duniya badli, badl gay haalat wasi

Mere ghar khushiyon ka ye raqs usi k dam se hai
Us k sath chali jay gi pholoon ki baraat wasi

Chor wasi ab us ki yaden tujh ko pagal kar den gi
Tu qatra hai wo darya hai dekh apni auqaat wasi

Jan 8, 2019

Jis Ne Adaa Seekh Li Ghum Main Muskurane Ki

Jis Ne Adaa Seekh Li Ghum Main Muskurane Ki

Jis ne adaa seekh li ghum main muskurane ki
Usay kiya mitain gi gardishain zamane ki

Teri Talab Main Jala Dalay Saray Aashiyanay

Teri Talab Main Jala Dalay Saray Aashiyanay

Teri talab main jala dalay saray aashiyanay
Kahan rahoon main teray dil main ghar banane tuk

Jub Saza De He Chuke Ho Tu Haal Na Poocho

Jub Saza De He Chuke Ho Tu Haal Na Poocho

Jub saza de he chuke ho tu haal na poocho
Hum agar be gunah nikle tu tumhain afsoos hoga

Kerta Tu Hay Woh Yaad Mujhe Chahat Se Mager

Kerta Tu Hay Woh Yaad Mujhe Chahat Se Mager

Kerta tu hay woh yaad mujhe chahat se mager
Hota hay ye kamaal bari muddaton ke baad