Mar 15, 2012

KARAM karo yaan sita

KARAM karo yaan sita

KARAM karo yaan sitam hum gila nhi karte,
khaza main phool khila nhi karte,
mila do khaak main lekin ye khayal rahe,
hum jese DOST dubara mila nhi karte.


1 comments:

  1. Sitam karo ya karam hum gila nehi kartay
    Khizaan main phool yaqeenan khila nehi kartay

    Mila dau khaak main hum ko magar khayal rehay
    K hum saiy loog dobara mila nehi kartay

    Ajab sakoot sa taari haiy onn ke nazron main
    K jaisay ab wo kisi saiy wafa nehi kartay

    Unhi k dam saiy haiy roshan ye mehfil shair-o-sukhan
    Ye ore baat haiy wo yahan dikha nehi kartay

    Jo dhoondtay hain khushi udaas chehron main
    Unhi ke aankh saiy aanso gira nehi kartay

    Kabhi tau badlay gi duniya kabhi tau badlain gaiy rung
    Abhi tau ashak humaray rukka nehi kartay

    Kahan khayal maseeha ko aaj haiy shaukat
    Kahan hain loog jo dushman howa nehi kartay

    by: Shaukat Ali Khan

    is ghazal ko 2009 mian runjish.com pr upload kiya tha, mgr ab wahan old record nehi haiy jab k 2012 se ab tak ka record mojood haiy..jis main meri kae ghazlain shamil hain...

    ReplyDelete

Add your comments, Poetry related to this Poetry.