Mar 22, 2012

Na Itni Shiddat Se Zindagi Bhar Kisi Se Milna Kaha Tha Main Ne

Bichher Ke Mujh Se Na Zindagi Bhar Udaas Rehna Kaha Tha Main Ne
Jo Ho Sakay To Tamaam Yaadain Samait Lena Kaha Tha Main Ne

Phir Aaj Apni Wafa Ke Daaman Main Zakhm Lekar Udaas Kiun Ho
Muhabbaton Ki Ruto'n Main Apna Khayal Rakhna Kaha Tha Main Ne

Wohi Huwa Na, Ke Manzilo'n Ko Ganwa Ke Tanha Bhatak Rahay Ho
Sambhal Ke Chalna, Faraib Dega Her Aik Rasta Kaha Tha Main Ne

Milain Kuch Aisay Hain Zakhm Gehray Bichher Ke Jeena Muhaal Thehra
Na Itni Shiddat Se Zindagi Bhar Kisi Se Milna Kaha Tha Main Ne

Main Ab Bhi Nafrat Ke Zeher Ugalti Fiza Main Tanha Sulag Raha Hoon
Tumharay Baad Iss Nagar Main Koi Nahi Hai Apna Kaha Tha Main Ne

Aur Ab To Dono Hi Apni Apni Wafa Ke Raizo'n Ko Chun Rahay Hain
Zamana Pathar, Tu Pyar Apna Hai Aik Sheesha Kaha Tha Main Ne....!!!
 

0 comments:

Post a Comment

Add your comments, Poetry related to this Poetry.