"Tera Husn Ho Mera Ishq Ho"
Tera Husn Ho
Mera Ishq Ho
To Phir Husn-o-Ishq Ki Baat Ho
Kabhi Main Milon, Kabhi Tu Milay
Kabhi Hum Milain, Mulaqaat Ho
Kabhi Tu Ho Chup, Kabhi Main Hoon Chup
Kabhi Dono Hum Chup Chaap Hoon
Kabhi Guftagu
Kabhi Tazkiray
Kabhi Zikar Ho
Ko'i Baat Ho
Kabhi Visaal Ho To Din Ko Ho
Kabhi Hijar Ho To Voh Raat Ho
Kabhi Main Tera
Kabhi Tu Meri
Kabhi Sath Main
Kabhi Sath Tu
Kabhi Ek Doojay Ka Sath Ho
Kabhi Sohbatain, Kabhi Ranjishain
Kabhi Dooriyan, Kabhi Qurbatain
Kabhi Ulfatain, Kabhi Nafratain
Kabhi Jeet Ho, Kabhi Maat Ho
Kabhi PhooL Ho Kabhi Dhool Ho
Kabhi Yaad Ho, Kabhi BhooL Ho
Rahain Muskuratay Pyaar Main
Khilain Phool Ban K Bahaar Main
Na Nashaib Ho
Na Faraaz Ho
Na Nasab Ho
Na He Zaat Ho
Rahain Muskuratay Pyaar Main
Khilain Phool Ban K Bahaar Main
Na Zameen Ko'i
Na Falak Ko'i
Na Vajood Ho
Na He Zaat Ho
Tera Husn Ho
Mera Ishq Ho
To Phir Husn-o-Ishq Ki Baat Ho..!!
0 comments:
Post a Comment
Add your comments, Poetry related to this Poetry.