Showing posts with label EID Poetry. Show all posts
Showing posts with label EID Poetry. Show all posts

Jun 15, 2018

Kaash Is Eid Ke Haseen Lamhoon Main

Kaash Is Eid Ke Haseen Lamhoon Main

Kaash is eid ke haseen lamhoon main
Meri zaat-e-gumshuda tujhay yaad aye....

Daikha Eid Ka Chaand Tu Maangi Ye Dua Rab Se

Daikha Eid Ka Chaand Tu Maangi Ye Dua Rab Se

Daikha eid ka chaand tu maangi ye dua rab se
De, de tera saath eid ka tohfa samajh ke

Jun 14, 2018

Masroof Hay Khalaq Eid Ki Tayyariyon Main

 Masroof Hay Khalaq Eid Ki Tayyariyon Main

Masroof hay khalaq eid ki tayyariyon main, aur main
Mehv-e-fikar hoon ke sub se hans ker milna hoga....

Chand Daikha Tu Yaad Ayee Teri Soorat

Chand Daikha Tu Yaad Ayee Teri Soorat

Chand daikha tu yaad ayee teri soorat
Haath uthtay hain magar hurf-e-dua yaad nahi

Main Muntazir Hoon, Teri Deed Ka


Main muntazir hoon, teri deed ka
Tu nazar aye chand ban ke eid ka

Ae Chand Jub Wo Teri Taraf Daikhain


Ae chand
Jub wo teri taraf daikhain
Tu unhain kuch yaad dilana
Madhur se kuch geet sunana 
Aur kehna-----!
Tumhain koi yaad kerta hay
Teri arzo teri umeed kerta hay
Koi aj bhi
Tumhain daikh ker eid kerta hay

Jun 13, 2018

Her Kisi Ke Liyay Kahan Hoti Hain Eid Ki Khoshiyan

Her Kisi Ke Liyay Kahan Hoti Hain Eid Ki Khoshiyan


Her kisi ke liyay kahan hoti hain eid ki khoshiyan
Khoshiyan lata hay kahan sub ke liyay eid ka chand

Tumharay Chand Se Chehre Ki Agar Deed Ho Jay

 Tumharay Chand Se Chehre Ki Agar Deed Ho Jay 

 Tumharay chand se chehre ki agar deed ho jay
Qasam hay apni aankhon ki eid ho jay

Her Shakhs Apne Chand Se Tha Mehw-E-Guftagu

Her Shakhs Apne Chand Se Tha Mehw-E-Guftagu

Her shakhs apne chand se tha mehw-e-guftagu
Main chand dhoondta raha aur eid ho gye

Daikho Daikho Chand Hay Nikla

Daikho Daikho Chand Hay Nikla


Daikho daikho chand hay nikla
Daikho ye kis shan se nikla
Taroon ki baraat se nikla
Sub ko ye pegham sunao
Eid ka ye chand hay yaro
Khushiyon ka pegham hay yaro
Dordo bhago eid manain
Ik dojay ko galay lagain
Mil ker baithain mil ker gaen
Geet khoshi ke mil ker gaen
Daikho daikho chand hay nikla
Taroon ki baraat se nikla