Showing posts with label Ghazal Shayari. Show all posts
Showing posts with label Ghazal Shayari. Show all posts

Aug 10, 2018

Ghar Se Nikal Kar Apne Tere Aastan Tak

Ghar Se Nikal Kar Apne Tere Aastan Tak

Ghar se nikal kar apne tere aastan tak puhanchon
Gman ke rangon mai had-e gman tak puhanchon

Phir unhi mosmo ke darmyan chalte chalte
Baharon se nikalte hoye khazan tak puhanchon

Raat tu baqi hai abi jane ka faisal na kro
Teri aankhon se mai ishq ki dastan tak puhanchon

Kai sadyon se musafat ko smeta hai mai ne
Tu hi bta de ab mai aur khan tak puhanchon

Tuje aangan mai sitaron ki tarah sjane ke liye
Zmeen pe rang sjaon aur asamn tak pohchon

Jul 15, 2018

Koi Tum Se Poochay Koon Hon Main

Koi Tum Se Poochay Koon Hon Main

Koi tum se poochay koon hon main
Tum keh dena koi khaas nahi
Ik doost hay kacha pakka sa
Ik jhoot hay aadha sacha sa
Ik khwaab adhoora poora sa
Ik phool rookha sookha sa
Ik apna hay un daikha sa
Ik rishta hay anjana sa
Haqeeqat main afsana sa
Kuch pagal sa deewana sa
Bus ik bahana acha sa
Jeewan ka aisa sathi hay
Jo door ho tu kuch paas nahi
Koi tum se poochay koon hon main
Tum keh dena koi khaas nahi


Jul 11, 2018

Woh Mujh Se Punchti Hai

Woh Mujh Se Punchti Hai

Woh mujh se punchti hai
Kiya zindagi kiya mout
Main khamosh rehta hoon
Aur dil he dil main kehta hoon
Tujhy pa liya to zindagi
Tujhy kho dia to mout


Jul 10, 2018

Aurdh Lie Hai Khamoshi

Aurdh Lie Hai Khamoshi

Aurdh lie hai khamoshi
Guftagu nahi karni
Dil ko maar deyna hai
Aarzoo nahi karni
Ab tumhari rahon main
Dhool bhi nahi hona
Aur tum ko paney ki
Justujo bhi nahi karni




Jul 8, 2018

Main Bhool Jaoon Tumhain

Main Bhool Jaoon Tumhain

Main bhool jaoon tumhain
Ab yehi munasib hay
Magar bhulana bhi chahoon to kis tarah bhoolon
Ke tum to phir bhi haqeeqat ho
Koi khuwaab nahi
Yahan tu dil ka ye alam hay kiya kahoon
Kumbakhat
Bhula na paya wo silsila
Jo tha hi nahi
Woh aik khiyaal
Jo awaaz tuk giya hi nahi
Woh aik baat
Jo main keh nahi saka tum se
Woh aik rabt
Jo hum main kabhi raha hi nahi
Mujhay hay yaad wo sub
Jo kabhi howa hi nahi

Jul 6, 2018

Usay Kehna Yahan Sub Kuch

Usay Kehna Yahan Sub Kuch

Usay kehna 
Yahan sub kuch
Tumhare bin adhura hai
Gaye lamhon ki yadain hain
Azab-e- zindagani hai
Feraq-e- naguhani hai
Usay kahna
Ke lout aye


Jul 5, 2018

Kiya Bhala Mujh Ko Parakhne Ka Nateeja Nikla

Kiya Bhala Mujh Ko Parakhne Ka Nateeja Nikla

Kiya bhala mujh ko parakhne ka nateeja nikla
Zakhm-e-dil ap ki nazron se bhi gehra nikla

Tor ker daikh liya aaena-e-dil tu ne
Teri soorat ke siwa aur bata kiya nikla

Tashnagi jum gyee pathar ki tarah honton per
Doob ker teray darya main, main piyasa nikla

Jul 3, 2018

Teri Soorat Pe Ik Ghazal Kamal Likhonga

Teri Soorat Pe Ik Ghazal Kamal Likhonga

Teri soorat pe ik ghazal kamal likhonga , main teray husn ke  sub khadokhal likhonga
Ye tera hukm sar aankhon pe lub tu see longa magar, main teray chehray pe sub dil ka haal likhonga

Her ik lamha jo qurbat main teri guzra hay woh, looh dil pe likhon ga  tu saal likhonga main
Dil ke warq pe likhon termeem kerkay chordonga "Fraaq" kaat ke ik din "Wisaal" likhonga

Khosa jub bhi likha hal-e-zindagi main ne , kiya hay ishq ne kitna nidhaal likhonga

Submitted By: Asad Iqbal Khosa

Apr 28, 2018

Jo Uss Ke Saamne Mera Ye Haal Aa Jaye

Jo uss ke saamne mera ye haal aa jaye,
toh dukh se aur bhi uss par jamaal aa jaye.

Mera khyal hai ghunghroo pehan ke naachega,
agar khyal ko tera khyal aa jaye.

Har ek shaam naye khwaab uss par garhenge,
humare haath agar teri shaal aa jaye.

Inhi dino woh mere saath chaai peeta tha,
kahin se kaash mera pichhla saal aa jaye.

Mein apne ghum ke khazaane kahan chhupaaunga,
agar kahin se koi aur maal aa jaye.

Har ek baar naye dhang se sajaayen tujhe,
humhare haath jo phoolon ki daal lag jaye.

Ye doobta hua sooraj thehar na jaye ‘wasi
agar woh saamne waqat-e zawaal aa jaye. !!

Wasi Shah

Jo Uss Ke Saamne Mera Ye Haal Aa Jaye

Mar 21, 2018

Chal Chor De Ye Jazbaat Saqi

Chal Chor De Ye Jazbaat Saqi
Ab Badal Gaye Halaat Saqi

Tu Jane Kya Kuch Sochta Tha
Ab Samjha Apni Okat Saqi

Ye Ishq Awaara Panchi Hai
Nahi Is Ki Koi Zaat Saqi

Jis Par Tha Mujhe Aitbaar Bohat
Wo Chor Gaya Mera Hath Saqi

Na Jane Kab Tak Tarpaye Ga
Tu Har Pal, Har Din Raat Saqi

Dil Khoon K Aansoo Rota Hai
Nahi Karta Jab Tu Baat Saqi...

Submitted By: Umer Hayat Saqi

Mosam Bhi Hai Suhana Barish Bhi Ho

Mosam Bhi Hai Suhana, Barish Bhi Ho Rahi Hai
Bas Ek Kami Hai Jana, Teri Yaad Aa Rahi Hai

Matti Ki Sondhi Khushbu, Patton Se Behta Pani
Har Cheez Keh Rahi Hai, Teri Yaad Aa Rahi Hai

Rim Jhim Barasti Barish, Tip Tip Utarta Pani
Ye Shor Keh Raha Hai, Teri Yaad Aa Rahi Hai...

Mosam Bhi Hai

Mar 9, 2018

Safar K Wasty Kuch Asbab Aj De Dalo

Safar K Wasty Kuch Asbab Aj De Dalo
Bohat Si Duaen Aur Naye Khawab Aj De Dalo

Mere Ghamon Ne Mere Charaghon Ko Bujha Rakha Hai
Raah Me Roshni K Liye Kuch Mehtab Aj De Dalo

Waqt Ki Aag Ne Jism Ko Jala Kar Khaak Kia
Kafan K Wasty Thora Sa Kamkhawab Aj De Dalo

Mujhe Sanam K Huzoor Jane K Wasty Yaaro
Pi K Na Behkun Aisi Sharab Aj De Dalo

Tumhare Ishq Me Yoon Khoya K Khuda Yad Na Raha
Mere Sub Sajdon Ko Mimbar-O-Mehrab Aj De Dalo...

Submitted By: Khayyam RKR

Feb 9, 2018

Kitna Ghafil Hai Mujhe Acha Samjhne Wala

Kitna Ghafil Hai Mujhe Acha Samjhne Wala
Kya Basaye Ga Mujhe Khud Hi Ujarne Wala

Kya Tamasha Hai K Me Us Pe Bigar Betha Hun
Wo Jo Mash-Hoor Hai Logon Me Bigarne Wala

Zinda Rehne Ka Sabab Kya Hai Ye Dil Se Puch
Juzz Tere Or Nahi Koi Dharakne Wala

Naao Doobi Meri Karte Hue Deedar Tera
Or Tera Naam Hi Leta Tha Ubharne Wala

Teri Waja Se Hi Larta Hun Zamany Bhar Se
Me Hun Mash-Hoor Zamany Me Jhagarne Wala

Kesi Ankhein Hain Wo Zalim Ki Samandar Jesi
Kitna Roshan Tera Chehra Hai Chamakne Wala

Tumhe Maloom Hai Kon Likhe Ga Ye Ghazal
Tumhare Ishq Me Bar-Waqt Tarapne Wala...

Blogger: Waqas Ali

Feb 5, 2018

Chalo Kashmir Chalte Hain

Chalo Kashmir Chalte Hain
Jahan Par Barf Parti Hai
Jahan Pathar K Niche
Phool Khilte Hain
Jahan Chashmy Ubalty Hain
Jahan Barish Barasti Hai
Barasti Barishon Me Bhi
Jahan Kohsar Jalte Hain
Chalo Kashmir Chalte Hain...

Chalo Kashmir Chalte

Feb 3, 2018

Kya Mila Dilbari Kar K

Kya Mila Dilbari Kar K
Ek Sanam Se Ashqi Kar K

Kiun Muqaddar Ko Kostay Ho Tum
Tabah Khud Apni Zindagi Kar K

Kuch Ajar Nahi Mile Ga Tumhe
Yoon Dikhawy Ki Bandagi Kar K

Log Samajhte Nahi Hain Gham Mera
Dekh Lia Mene Shayari Kar K

Laut Jaunga Main Andhere Main
Us Ki Duniya Main Roshni Kar K

Gham Main Bhi Muskurata Hun 'Zia'
Us K Naam Har Khushi Kar K...

Submitted By: Zia Anwar Janjua

Jan 11, 2018

Hazaar Mosam Badal Chuky Hain

Hazaar Mosam Badal Chuky Hain
Magar Hai Dil Me Khizaan Ka Mosam

Bichar K Tum Se Kahan Hun Zinda
Guzar Raha Hai Saza Ka Mosam

Mohabbaton Me Kahan Hai Chahat
Kahan Raha Ab Qaza Ka Mosam

Khalish Rahi Ye K Tum Manaty
Par Aa Chuka Ab Nazaa Ka Mosam

Wohi Mile Ga Jo Boya Tum Ne
Jo Aya Ek Din Jaza Ka Mosam

'Ali' Me Us Ko Bhulaun Kese
Wohi Hai Dil Ki Raza Ka Mosam...

Submitted By: Muhammad Rizwan

Jan 10, 2018

Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kiun Nahi Jate

Is Dard Ki Duniya Se Guzar Kiun Nahi Jate
Ye Log Bhi Kya Log Hain Mar Kiun Nahi Jate

Hai Kon Zamany Me Mera Puchne Wala
Nadaan Hain Jo Kehte Hain K Ghar Kiun Nahi Jate

Sholay Hain To Kiun In Ko Bharakte Nahi Dekha
Hain Khaak To Rahon Me Bikhar Kiun Nahi Jate

Ansoo Bhi Hain Ankhon Me Duain Bhi Hain Lub Par
Bigray Hue Halaat Sanwar Kiun Nahi Jate...

*Habib Jalib*
Submitted By: Shahid Aziz Anjum

Dec 27, 2017

December Tum Na Jao Na

December Tum Na Jao Na
Abhi Lamhay Nahi Bikhry
Abhi Mosam Nahi Bichry
Mere Kamray Ki Thandak Me
Abhi Kuch Dhoop Baki Hai
Meri Diary K Kuch Safhay
Abhi Kuch Likh Nahi Paye
Mere Angan K Sub Poday
Abhi Bhi Gungunaty Hain
Mere Be-Jaan Honton Par
Abhi Muskan Baki Hai
Kisi K Laut Any Ka
Abhi Imkan Baki Hai
December Bat Ek Sun Lo
Suno Tum Man Jao Na
K Jab Tak Wo Nahi Ata
December Tum Na Jao Na...

December Tum Na

Dec 21, 2017

Tum Meri Aankh K Taiwar Na Bhula Paoge

Tum Meri Aankh K Taiwar Na Bhula Paoge
An-Kahi Bat Ko Samjho Ge To Yad Aunga
Hum Ne Khushiyon Ki Tarha Dukh Bhi Ekathe Dekhe
Safha-e-Zeest Ko Palto Ge To Yad Aunga
Is Judai Me Tum Andar Se Bikhar Jaoge
Kisi Mazoor Ko Dekhoge To Yad Aunga
Isi Andaaz Me Hote The Mukhatib Mujhse
Khat Kisi Aur Ko Likho Ge To Yad Aunga
Meri Khusbu Tumhe Khole Gi Gulabon Ki Tarha
Tum Agr Khud Se Na Bolo Ge To Yad Aunga
Sard Raaton K Mehekte Hue Sannaton Me
Jab Kisi Phool Ko Chumo Ge To Yad Aunga
Aaj To Mehfil-e-Yaaran Pe Ho Maghroor Bohat
Jab Kabhi Toot K Bikhro Ge To Yad Aunga
Ab To Ye Ashq Me Honton Se Chura Leta Hun
Haath Se Khud Inhe Poncho Ge To Yad Aunga
Shawl Pehnaye Ga Ab Kon December Me Tumhe
Barishon Me Kabhi Bheego Ge To Yad Aunga
Haadsay Aenge Jeewan Me To Tum Ho K Nidhaal
Kisi Dewaar Ko Thamo Ge To Yad Aunga
Is Me Shamil Hai Mere Bakht Ki Tareeki Bhi
Tum Seyaah Rung Jo Pehno Ge To Yad Aunga...

Tum Meri Aankh

Dec 17, 2017

Kitna Ghafil Hai Mujhe Acha Samjhne Wala

Kitna Ghafil Hai Mujhe Acha Samjhne Wala
Kya Basaye Ga Mujhe Khud Hi Ujarne Wala

Kya Tamasha Hai K Me Us Pe Bigar Betha Hun
Wo Jo Mash-Hoor Hai Logon Me Bigarne Wala

Zinda Rehne Ka Sabab Kya Hai Ye Dil Se Puch
Juzz Tere Or Nahi Koi Dharakne Wala

Naao Doobi Meri Karte Hue Deedar Tera
Or Tera Naam Hi Leta Tha Ubharne Wala

Teri Waja Se Hi Larta Hun Zamany Bhar Se
Me Hun Mash-Hoor Zamany Me Jhagarne Wala

Kesi Ankhein Hain Wo Zalim Ki Samandar Jesi
Kitna Roshan Tera Chehra Hai Chamakne Wala

Tumhe Maloom Hai Kon Likhe Ga Ye Ghazal
Tumhare Ishq Me Bar-Waqt Tarapne Wala...

Blogger: Waqas Ali