Showing posts with label Parveen Shakir Poetry. Show all posts
Showing posts with label Parveen Shakir Poetry. Show all posts

Sep 7, 2016

Us Waqt Ka Kon Hisab Kary

Us Waqt Ka Kon Hisab Kary
Wo Waqt Jo Tujh Bin Beet Gaya...

Us Waqt Ka

Sep 3, 2016

Mitao Ge Kahan Tak Tum Meri Baten Meri

Mitao Ge Kahan Tak Tum Meri Baten Meri Yaaden
Main Har Aik Mor Par Apni Nishani Chor Jaungi...

Mitao Ge Kahan

Jan 17, 2016

Kon Jane K Naye Saal Me Tu Kis Ko

Kon Jane K Naye Saal Me Tu Kis Ko Parhe
Tera Mayaar Badalta Hai Nasaabon Ki Tarha...

Kon Jane K

Dec 21, 2015

Koi Aahat Koi Awaz Koi Chaap Nahi

Koi Aahat, Koi Awaz, Koi Chaap Nahi
Dil Ki Galiyan Bari Sunsaan Hain, Aye Koi...

Koi Aahat Koi

Jun 17, 2015

Apne Kirdar Ko Mosam Se Bachaye Rakhna

Apne Kirdar Ko Mosam Se Bachaye Rakhna
Laut Kar Phool Me Wapis Nahi Ati Khushbu...

Apne Kirdar Ko Mosam

Apr 22, 2015

Tum Ne To Thak K Dasht Me Khaimay Laga Liye

Tum Ne To Thak K Dasht Me Khaimay Laga Liye
Tanha Katay Kisi Ka Safar Tum Ko Is Se Kya...

Tum Ne To Thak

Apr 21, 2015

Meri Talab Tha Aik Shakhs Jab Wo Nahi Mila

Meri Talab Tha Aik Shakhs Jab Wo Nahi Mila To Phir
Hath Dua Se Yoon Gira Bhool Gaya Sawal Bhi...

Meri Talab Tha

Jun 6, 2012

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi - Parveen Shakir

kuch to hawa bhi sard thi, kuch tha tera khayaal bhi

kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi, Kuch Tha Tera Khayal Bhi, 
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malaal Bhi 

(Sard=Cold; Malaal=Sorrow)

Baat Wo Aadhi Raat Ki, Raat Wo Poore Chand Ki, 
Chand Bhi Ain Chait Ka Uss Pe Tera Jamaal Bhi 

 (Chet=Name of a month; Jamaal=Beauty)

Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujh Ko Tha Aise Dekhta, 
Ek Dafa To Ruk Gai Gardish-e-Mah-o-Saal Bhi 

Dil To Chamak Sake Ga Kya, Phir Bhi Taraash Ke Dekh Lo 
ShishaaGaran-e-shahar Ke Hath Ka Ye Kamaal Bhi 

(Taraash=Polish; ShishaaGaran=Glazier)

Us Ko Na Pa Sake The Jab Dil Ka Ajib Haal Tha,
Ab Jo Palat Ke Dekhiye Baat Thi Kuch Muhaal Bhi 

(Muhaal=Difficulty)

Meri Talab Tha Ek Shakhs Wo Jo Nahin Mila To Phir, 
Haath Dua Se Yun Gira Bhool Gaya Sawaal Bhi 

(Talab=Quest)

Shaam Ki Nasamajh Hawa Pooch Rahi Hai Ek Pata 
Mauj-e-Hawa-e-Ku-e-Yaar Kuch To Mera Khayaal Bhi 

(Nasamajh=Naive)

Us Ke Hi Bazoun Main Aur Us Ko Hi Sochte Rahe 
Jism Ki Khwahishon Pe The Ruh Ke Aur Jaal Bhi...