Oct 26, 2016

Yaqeen Na Aye To Ek Baar Pooch Kar

Yaqeen Na Aye To Ek Baar Pooch Kar Dekho
Jo Hans Raha Hai Wo Zakhmon Se Choor Nikle Ga...

Yaqeen Na Aye

Khizaan Ki Dhoop Se Shikwa Fazool Hai

Khizaan Ki Dhoop Se Shikwa Fazool Hai Mohsin
Main Yoon Bhi Phool Tha, Akhir Mujhe Bikharna Tha...

Khizaan Ki Dhoop

Oct 23, 2016

Hanso Aaj Itna K Is Shor Main

Hanso Aaj Itna K Is Shor Main
Sada Siskiyon Ki Sunai Na De...

Hanso Aaj Itna

Oct 22, 2016

Kisi Ko Ghar Mila Hisse Me Ya Koi Dukaan Ai

Kisi Ko Ghar Mila Hisse Me Ya Koi Dukaan Ai
Me Ghar Me Sub Se Chota Tha Mere Hisse Me Maa Ai...

Blogger: Waqas Ali

Kisi Ko Ghar

Dard Chahe Kitna Ho Tabassum Ko Ana Hi Hota Hai

Dard Chahe Kitna Ho Tabassum Ko Ana Hi Hota Hai
Dewana To Akhir 'Faisal' Dewana Hi Hota Hai

Kin Kin Ghazlon Main Meri Tera Zikr Ata Hai Warna
Har Ghazal Main Gunah-E-Shama-O-Parwaana Hi Hota Hai

Chalo Aaj Mehfil Main Teri Wafa Ki Baten Karte Hain
Yun To Har Mehfil Main Bewafaon Ka Afsana Hi Hota Hai

Wo Ainy K Samny Aina-Saazi Ki Fikr Jaan-E-Jaan
Jahan Toot'te Hain Aise Ainy Wo Sanam-Khana Hi Hota Hai

Majnu Hai Koi Qais Hai Koi Murattab Kar Gaya Ishq
Dewanaa To Akhir 'Faisal' Dewana Hi Hota Hai...

Submitted By: Faisal Abro

Oct 21, 2016

Akhir Ghar K Charagh Bhi Bik Gaye

Akhir Ghar K Charagh Bhi Bik Gaye
Mohally Ki Chandni Ko Paaty Paaty...

Submitted By: Shah Ali

Oct 18, 2016

Ho Sake To Doston Main Kuch Tabassum

Ho Sake To Doston Main Kuch Tabassum Bant Do
Gham K Afsany To Har Kisi K Sath Hain...

Ho Sake To

Main Khaak Ban Jawan Galiyan Di

Main Khaak Ban Jawan Galiyan Di
Jay Yaar Udaway Pairaan Naal...

Main Khaak Ban

Oct 17, 2016

Unhe Jo Naaz Hai Khud Par Nahi Hai Bewaja

Unhe Jo Naaz Hai Khud Par, Nahi Hai Bewaja Mohsin
K Jis Ko Hum Ne Chaha Ho, Wo Khud Ko Aam Kiun Samjhe...

Submitted By: Malik Aamir Baig

Oct 16, 2016

Aj Badla Badla Hua Tumhara Andaz-E-Guftagu

Aj Badla Badla Hua Tumhara Andaz-E-Guftagu Laga
Rafta Rafta Kisi Or K Hote Ja Rahe Ho Tum...

Submitted By: Muzahir Abbas