Dec 2, 2018

Hajoom Main Tha Woh, Khul Ker Na Roo Saka

Hajoom Main Tha Woh, Khul Ker Na Roo Saka

Hajoom main tha woh, khul ker na roo saka hoga
Magar mujhay yaqeen hay shub bhur na soo saka hoga

Tujh Ko Awaaz Doon Aur Door Tuk

Tujh Ko Awaaz Doon Aur Door Tuk

Tujh ko awaaz doon aur door tuk tu na milay
Aisay sunnatay se aksar mujhay dar lagta hay

Loog Kehtay Hain Husn Walon Ko Manzil

Loog Kehtay Hain Husn Walon Ko Manzil

Loog kehtay hain husn walon ko manzil-e-ishq nahi milti
Hum bus itna kahain gay ke rahoon ka qasoor tha

Ho Taluq To Rooh Se Ho

Ho Taluq To Rooh Se Ho

Ho taluq to rooh se ho
Dil tu aksar bhar jatay hain

Dec 1, 2018

Dil Ke Lut Jane Ka Izhaar Zaroori To Nahi

Dil Ke Lut Jane Ka Izhaar Zaroori To Nahi

Dil ke lut jane ka izhaar zaroori to nahi
Ye tamasha sar-e-bazaar ho zaroori to nahi

Mujhay tha ishq teri rooh se aur ab bhi hay
Jism se ho koi sarokar ye zaroori to nahi

Main tujhay Toot ker chahoon tu meri fitrat hay
Tu bhi ho mera talabgar zaroori to nahi

Ae sitm ger zara jhank meri aankhoon main
Zuban se piyar ka izhaar zaroori to nahi


Be Hisi Shart Hay Jeenay Ke Liyay

Be Hisi Shart Hay Jeenay Ke Liyay

Be hisi shart hay jeenay ke liyay
Aur hum ko ehsaas ki beemari hay

Andaz-E-Biyan Agarcha Bohat Shookh Nahi

Andaz-E-Biyan Agarcha Bohat Shookh Nahi

Andaz-e-biyan agarcha bohat shookh nahi hay
Shayed ke utar jaey tere dil main meri baat

Shauq-E-Wafa Na Sahi

Shauq-E-Wafa Na Sahi

Shauq-e-wafa na sahi
Khauf-e-Khuda to rakh

Nov 30, 2018

Rootha Howa Hay Mujh Se Is Baat Per Zamana

Rootha Howa Hay Mujh Se Is Baat Per Zamana

Rootha howa hay mujh se is baat per zamana
Shaamil nahi hay meri fitrat main sar jhukana



Piyar Ke Do Meethay Bool Se Khareed Lo Mujhko

Piyar Ke Do Meethay Bool Se Khareed Lo Mujhko

Piyar ke do meethay bool se khareed lo mujhko
Daulat dikhai tu saray jahan ki kum paray gi